Wednesday, December 14, 2016

Kya mobile me quraan padh sakte hai?

📱 *MOBILE ME QURAAN PADHNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.872⭕

Kya mobile me quraan padh sakte hai?

Hamne suna hai ke ye [mobile] to baatil ke liye hee bana hai lihaza haq ke kaamo me istiamal nahi karna chahiye.

Jis screen par film dekhi usee screen par quraan padhna be-adabi kehlayega?

Baaz log masjid me quraan hone ke bawajood mobile me padhte hai, kya un ko asli quraan me parhne ka aur quraan ko dekhne ka sawab milega?

🔵JAWAB🔵

Mobile asal batil hee ke liye bana hai is liye haq ke kaamo me istiamal  nahi ho sakta aisa koi fiqah ka qaidah nahi hai.

Agar aesa maan liya jaye ke baatil ke liye bana hai to bhi us ke istiamal ke aetibaar se us ka hukm hoga, yani  jaiz kaamo me uska istiamal jaiz hoga aur na jaiz kaamo me istiamal na jaiz hoga.

Jese mic, speakers is kee asal eejad-banawat gaana aur music sunane ke liye hui hai is ka istiamal quran parhne aur deen kee baat kehne ke kiye ho raha hai, agar aesa hee qaidah ho to mic aur speakers ka istiamal bhi na jaiz hoga. Lekeen aesa nahi hai. Tv ka khareedna aur dekhna  haraam hai lekeen koi security aur cemera ke zariye dukan wagairah ki nigrani ke kiye khareede to jaiz hai.

Yahee haal mobile ka hai ke is ka aksar istiamal na haiz ho raha hai lekeen koi quraan aur kitaben download karne aur parhne khareede to jaiz hai.

Rahi baat screen par na jaiz cheez dekhne ki aur us par quraan parhne kee to aankhon se bhi bahot see na jaiz cheez dekhte hai aur usee aankh se quraan parhte hai.

Rahee baat masjid me quraan hone ke bawajood mobile par parhne kee to ye baat yad rahe ke aajkal jo quraan parhte hai woh huzoor salallahu alaihi wasallam aur sahaba radeeyallahu anhum ke zamane quraan nahi quraan to us zamane me darkht ke patton par, darkhton ki chhalon par, paththar,  kapdon, aur haddi wagairah par ikha jata tha, us zamane me kagaz ki ijad-khoj nahi hui thi. Aajkal ke quraan bhi purani technology ke quraan hai aur mobile ka quraan nayi technology kee quraan hai. Masnoon quraan na woh hai na yeh.

Jis tarah niyyat ke saheeh hone se us parhne ka sawab milega isee tarah niyyat ke saheeh hone se is me bhi sawab milega. Ye shubah na ho ke hazrat usman radeeyallahu anhu  ke zamane me quraan kagaz par likha gaya tha us ka jawab ye hai ke woh qalami nuskha tha yani hath se likha huwa tha. Agar koi masjid me aese nuskhe rakhe to us me parhna behtar hoga.

Mobile ko haqeeqat me bananewala allah taala hai. Insan nahi. Kiyun insaan ko dimag aur salahiyat allah hee ne dee hai mobile ka kachcha matirial allah ne  hee paida kiya tha usee ko istiamal kar ke insan ne mobile banaya hai. Asal tamam cheezon me ibahat yani jaiz hona hai. Na jaiz hone ke liye us cheez kee zaat me kharabee chahiye. Mobile kee zaat me koi kharabi nahi.

Mobile par quraan parha jaye to wuzu hona zarooree hai ya nahi wagairah masle par guzishtah saal islamic fiqhe academy ka seminar huwa tha. Jis me pure hindustan ke muftiyane kiram jama huwe the us me se kisi ne bhi mobile par quraan parhna najaiz hona nahi bataya. Mobile ke masail par dasyon kitab aa chuki hai kisi me bhi mobile par quraan parhne ki mumaniat nahi.

(mobile ke masail, jadeed muaasharat ke sharee ahkam,qawaidul fiqah se mustafad)

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl
💻📱
http://www.deeneemalumat.net
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...