Sunday, August 12, 2018

ZUL HIJJAH (BAKRA EID KA MAHINA) ME BAAL NAKHOON KATNA*

*ZUL HIJJAH (BAKRA EID KA MAHINA) ME BAAL NAKHOON KATNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1444⭕

Zul hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai?

Iski kya maslihat va hikmat hai ?
 
🔵Jawab🔵

 حامد و مصلیا و مسلما

Zul hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho use baal aur naakhoon eid ki namaaz aur uski qurbaani hone tak na kaatna *mustahab hai.* taake qurbaani ka janwar uske har har juz (hissah) ka badal aur fidyah ho jaaye, aur Allah ta'ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,

Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur Haj me gaye huve hajiyon ki mushabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil hone wali rahmat se Insha'Allah mahroom na rahenge, 

*Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunehgaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,*

Jo cheez jis darajah me saabit ho usko usee darajah me rakhna chahiye.

Note: jiske zere naaf <duti ke niche ke baal> aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.

📗Mirqaatul mafaateeh 3/306

📘Masaaile qurbaani, islaahee khutbaat se makhooz

📆28 zee qadah 1439 - 11/08/2018
 
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://aajkasawalhindi.page.tl

http://aajkasawalgujarati.page.tl

🔮Telegram channel: 🔮
https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...