Sunday, August 5, 2018

FRIENDSHIP DAY (DOSTI KA DIN) MANANA*🔗

🎁 *FRIENDSHIP DAY (DOSTI KA DIN) MANANA*🔗

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1438⭕

Har saal august ke pehle itwar ko frienship day (Yawme dosti) manaya jata hai is me ham hamare purane dost ko ya jis se nayi dosti karni hai us ko ya jo dost naraz ho us ko razi karne ke liye is din gift, friendship day ka card ya us ke hath par belt bandh dete hai agar us ne qabool kar liya aur jawab me us ne bhi in cheezon me se koi cheez dee ya kisi tarah muhabat aur dosti ka izhar kiya to dosti ho gai aesa samjha jata hai to friend ship day is tarah manana aur dosti karna islami shareeat ke aetibar se kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Friend ship day ke bare me tahqeeq ki to pata chala ye americi tehwar hai jis ki ibtida-shurooaat 1935 me Hui thi social media ki wajha se ab ye bharat me bhi aam ho raha hai ye un nasara ki tahzeeb-culture hai un ke tareeqe ki taraf hamara mailana aur jukao hone se bhi hame mana kiya gaya hai us par jahannam ki aag chhu jane ki waeed sunai gai hai.

📗SURAH E HOOD AYAT 113.

tareeqa ikhtiyar karne ki baat to dooor rahi us ko pasand bhi nahi karna chahiye
shareeat me kisi bhi neki aur achchhe kaam ke kiye apni taraf se kisi din ki ta`yeen karna munasib nahi dosti karna ya naraz dost ko manane ke liye is din ka intizar karne ki aur is tarah takheer karne ki zaroorat nahi dost to jab zaroorat ho tab bana lena chahiye ya jab kisi ko hamari zaroorat ho kisi din ka intizar kiye bagair us ka dost bankar us ki madad karni chahiye.islam dosti ki bunyad ek dusre ka taawoon aur bhalai par hai
koi dost naraz ho jaye aur batchit bandh kar de to 3 din se zayada talluqat tode rakhne jaiz nahi  isliye apne dost august mahine ke intizar kiye bagair jald se jald razi karne ki aur aapas me muaafi talafi ki koshish karni chahiye.
Aur gift-hadya dena aur lena shareeat me pasandeedah hai is se muhabbat badhti hai lekin us ke liye gairon ke in takallufat aur rasm ki pabandi karne ki ijazat nahi.
Aur mard ki dosti mard ke sath aur aurat ki dosti aurat ke sath honi chahiye lekin is din me log is sharee usool ko tod kar gair mahram se dosti moj, masti aur khahish puri karne ke liye karte hai jo zina tak pahonchne ka darwaza hai lihaza aesi dosti haraam hai aur gair mahram se dosti karna na ho to bhi is din  ko manana mana hai is din me dosti karne se bachna chahiye

imam gazali Rahmatullahi alayhi farmate hai ke, jis shakhs ke sath dosti karni ho us me 5 cheeezen honi chahiye. 1.Aqalmand ho, 2.Achchhe akhlaqwala ho,3.Fasiq-khullam khulla gunah karnewala na ho, 4.bidati, kufr ke kaam karnewala na ho, 5.dunya kamane par harees-lalchi na ho
Hazrat zainul Aabideen Rahmatullahi alayhi ki wasiyat me 3 aur sifat ka izafa hai. 6.bakheel-kanjoos naho,7.Jhuta na ho, 8.rishta todnewala na ho.

📗FAZAILE SADQAT 1/137

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* :22 ZEE QADAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

✅TSDEEQ MUFTI JUNAID SAHAB PALANPURI KALABA MUMBAI

✅MUFTI FAREED SAHAB KAWI JAMBUSAR

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...