Monday, August 27, 2018

HAJJ SE PEHLE UMRAH

*HAJJ SE PEHLE UMRAH*

⭕Aaj ka sawal no. 1464⭕

Istita'at (taaqat, capability) ke bavjood haj se pehle umrah karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Umrah hajj ka badal nahin hai, jis shakhs par hajj farz ho uske liye zaruri hai ke woh hajj kare,

Jis shakhs ko hajj ke dino me baitullah tak pahunchne aur hajj tak wahaan rehne ki taaqat (kharch, intizam, ijazat) ho us per hajj farz ho jaata hai, isliye aise shakhs ko jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, hajj par jaana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyyat ke bavjood hajj na karna bahot galat baat hai.

📘Aapke Masail aur unka Hal, Jild- 4, Safa no 38

✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura Surat Gujarat India

📆14/12/1439 hijri
     26/08/2018 isvi

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...