Sunday, August 26, 2018

TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL

*TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1463⭕

A. Tabeere tashreeq kab se kb tak kehni hai?

B. Kis par wajib hai?

C. akbeere tashreeq bhul jaye to kya hukm hai? Kab tak Padh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Takbeere tahreeq 9 zul hijjah ki fajr ki namaz se
lekar 13 zul hijjah ki asar tak Har farz amaz baad foran ek martaba *5* din me kul *23* farz namaz baad kehni wajib hai is saal 1439-2018 me mangal ki fajar se lekar sanichar ki asar tak padhhna wajib hai

B. Mard ho ya aorat, muqeem ho musafir ba jamat namaz pade ya tanha chahe masbooq ho (rakat chhuti ho) mard ko buland aawaz se aur aorton ko aahista aawaz se padhni chahiye.

C. Batchit na ki ho aur wuzu janbujh kar na toda ho to jab bhi yaad aaye padh le agarche Tasbeeh aur duaa mangne ke baad yad aaye balke sina qible se fir gaya to bhi aehtiyatan padh le han masjid se bahar nikal gaya ya janbujh kar wuzu tod diya ya baatchit kar li ho to ab wujoob saqit ho gaya ab na kahe.
و الله اعلم بالصواب

📗KITABUL MASAIL 3/334 se 335

📘DURRE MUKHTAR 3/61,63

*ISLAMI TAREEKH* : 14 ZUL HIJJAH  1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...