*RUKHSATI SE PEHLE WALEEMA & WALEEME KI MUDDAT*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1566⭕
A.
Nikah hone ke baad fauran rukhsati ya tanhai se pehle khane ki dawat khilane se waleema ki sunnat ada hogi ya nahi?
B.
Dawate waleemah ke kya sharait hain? Uski had aur muddat kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Ba'az ke nazdeek ada ho jayegi
📘FATAWA RAHEEMIYAH 8/239
Nikah ke baad waleemah kare ya rukhsati baad kare sunnate waleemah hasil ho jayegi.
📗MASAILE NIKAH WA AHKAME TALAQ SAFA 157
BA HAWALA
📕SHARHE SHIRATUL ISLAM SAFA 447
B.
Dawate waleemah shaadi aur rukhsati se teen roz tak hoti hai uske baad nahin
📗FATAWA MAHMOODIYAH 12/141 BA HAWALA
📘ALAMGEERI 5/343
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
http://www.aajkasawalhindi.page.tl
Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment