Saturday, December 8, 2018

JAHEZ KA LENE DENE KA HUKM

*JAHEZ KA LENE DENE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1571⭕

A.
Jahez ka lain dain karna kaisa hai?

B.
Ba'az commeetty bhi jahez ka intizam karti hai, woh kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
A.
Jahez lene dene ki 2 surat hai.

1.Mutalabah kar ke (mangkar) lena yeh rishwat ke hukm me hai, rishwat ka lena haraam hai aur sakht zarurat ke bagair dena bhi haraam hai.

2.
Agar bagair maange rasmo riwaj ki wajah se Ladki wale de rahe hain to qaidah hai ke jo cheez mashhoor hoti hai woh shart ke darje me hoti hai, lihaza bagair mange khamoshi se lena bhi jaiz nahin.

Haan ladkewale inkaar kar de ke ham rasmo riwaj ko nahin mante hame to sirf ladki de do fir bhi de to agar apni haisiyat ke mutabiq, kisi bhi qism ka qarz liye bagair aur numaish aur dikhlawa kiye bagair de to lene ki gunjaish hai, to bhi a'ala darja aur behtar yeh hai ke lene se sakht inkar kar diya jaaye

Kyun ke aam taur par jahez ki rasm ki pabandi hi karna hi maqsood hoti hai kyun ke agar beti ya daamad ko dena ho to nikah ki taqreeb me hi sab kuchh dene ka itna aehtamam kyun kiya jata hai! 

Apni awad ko, rishtedar ko bagair dikhlawa kiye hamesha thoda thoda insan deta rehta hai uske liye shaadi hi ke din ke intikhab ki zarurat na thi, lihaza jahez ki himmat afzai na ho isliye na lena hi behtar hai.

📘KITABUL FATAWA 4/425

📕AAP KE MASAIL 5/137 SE MAKHOIZ

Khidmat ki baaz committee garibo ke liye, jald shadi karwa kar gunahon se bachane ke liye rasmo riwaj se bacha kar sunnat ke mutabiq deeni majlis me nikah aur garelu zaruri saamaan ka intizam karte hain woh bahut munadib hai.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 11/257 SE MSKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 1 RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...