Friday, December 14, 2018

BARAT KI HAQEEQAT WA KHARABIYAN

*BARAT KI HAQEEQAT WA KHARABIYAN*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1577⭕

Dulhan ko lene log Baraat kyun le jate hai ? 
is me bahut preshani hoti hai aur kharch zyada hota hai,
ummat ke samne is ke nuqsanat ko wazeh farmaiye taake is ka riwaj khatm ho.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Pehle zamane me aam taur par ek do sawar hote the to daku loot lete, the isliye dulhan, us ke zewar aur saman ki hifazat ke liye kai aadmi use lene ke iye jate the, is tarah baraat ka riwaj pada hoga,
ab aksar raste ma'moon ho gaye hai, loot faat ab aamtaur par nahi hoti, isliye ab is ki zaroorat nahi rahi.

Is me chand kharabiyan hain.

1.
bahut si jagah kuchh rishtedar naraz hote hai ke hame baarat ki dawat kyun nahi di ? dulhe ke gharwalon ko ek kashmakash rehti hai ke kisi le jaye aur kise chhode, baaz martaba narazgi me rishte bhi toot jate hai.

2.
Namaze qaza hoti hai.

3.
Amtaur par baraat rawana hone me sab ke intizar me takheer aur pareshani hoti hai, nikah ke liye waqt par pahonchne ki jaldi me be_dhadak tez raftar gadi chalayi jati hai, jis me kabhi accident bhi hote hai.

*Baqi kal ins sha Allah....*🔜

📗BAHISHTI ZEWAR SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 
7 RABEEUL AAKHAR  1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...