*AWLAD KI SHADI KAB KARVANA ZARURI HAI?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1569⭕
KYA YEH BAAT SAHIH HAI KE AWLAD BAALIG HO JAAYE FIR BAAP USKI JALDI SHAADI NA KARVAYE AUR AWLAD KHUD ZINA ME MUBTALA HO JAAYE TO BHI USKA ZIMMEDAR USKA BAAP HAI ?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Ji haan, yeh baat hadees se saabit hai ek shart ke saath puree hadees hasbe zail hai
*Rasulullah ﷺ ne farmaya ke,*
*”Jis shakhs ke yahaan ladka paida ho to use chahiye ke woh uska naam achchha rakhe aur use nek aadaab sikhaye,*
(Ya'ani shariat ke ahkaam aur a'adaab, zindgi ke islami tareeqe sikhaye taake woh duniya va aakhirat me kaamiyab aur sar buland ho)
*Fir woh baalig ho jaaye to uska nikaah karade,*
*Agar ladka baalig ho (aur Shaadi ke kharche per woh khud qudrat na rakhta ho) aur uska baap (uske saadgi se nikaah ka kharcha bardasht karne per qudrat rakhta ho uske bavajud) uska Nikaah na kare aur fir woh ladka burayi (zina) me mubtala ho jaaye to uska gunaah Baap per hoga, ”*
📗Mishkaat, 2/271
Rasulullah ﷺ ne farmaya,
*” Taurat me likha huva hai ke jis shakhs ki Ladki ki umar 12 saal (Baalig) ho jaaye aur woh (Jod ka rishta milne ke bavjood) uska Nikaah na kare,*
*Fir woh Ladki burayi (ya'ani badkaari, gair ke saath shaadi kar ke murtad hona vagera) me mubtala ho jaaye to uska gunaah uske baap per hai,*
📕Mishkaat, 2/272
Aaj-kal Internet ke is daur me awlad ko paak daaman rakhna baap ki zimme zaruri hai ke saadgi se bhi nikah ki qudrat ho to jald nikah karvade.
📗Izdiwaji Zindgi ke Shara’i Masail aur Unka Hal,safa 39,40
✏ IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.
📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment