Wednesday, December 12, 2018

MANGETAR (FIANCE'S) SE BAAT KARNA, MSG KARNE WAGAIRAH KA HUKM AUR US KA ILAAJ

*MANGETAR (FIANCE'S)  SE BAAT KARNA, MSG KARNE WAGAIRAH KA HUKM AUR US KA ILAAJ*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1575⭕

Hone wali mangetar ko shadi biyah ke mauqe par baar baar dekhna usse baat-chit ya msg karna, agar us ki islah ki niyyat se ho to jaiz hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Nisbat aur mangni ho chukne ke baad bhi jab tak nikah nahin huva ho woh ladki apne mangetar ladke ke haq me Ajnabiyyah hai aur ajnabi aurat ka jo hukam hai wohi us mangetar ladki par jaari hoga, khat o kitabat
(massage, chatting) chahe islaah wa nasihat par mushtamil ho fitna or istilzaz
(lazzat hasil karna) se khali nahin hai, aur fuqaha ne mard ke haq me aurat (Ajnabiyyah) ke jhute (bache huwe) aur aurat ke haq me mard ke jhute ko makruh likha hai.

📗DURRE MUKHTAR

Mangetar aur makhtuba ko pehli baar dekhne ki shariat ne jo ijazat di hai, woh bhi zarurat ki wajah se khilafe qiyas hai, Jo apni had tak mahdud hai, isiliye agar ek martaba dekh chuka hai to dusri martaba haraam hai.

Agar talluq na rakhne se kisi qism ka andesha ho tab bhi mana na-jaiz kaam ka karna jaiz qaraar nahin diya ja sakta,

Uska aasan ilaaj yeh hai ke Aqde nikah kar liya jaaye, chahe rukhsati na ho, is surat me ikhtiyar bhi ladke ke haath me rahega, aur khat o kitaabat, massaging, chatting, calling wagera bhi jaiz, balke mustahsan (bahot achchha) ho javega.

📚Mahmudul fatawa: 4 /754, 755)

🖊MUFTI SIRAJ SIDAT D.B.
و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 5 RABEEUL SAANI 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...