*NIKAAH ME KHANDAN, BIRADARI KA AITBAAR*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1585⭕
NIKAH KE BARE ME ISLAM BHI KHANDAN KA AETIBAR KARTA HAI ?
FULA N KHANDAN YA FULAN BIRADARI HI ME HUM TO NIKAH KARENGE YE SOCH SAHEEH HAI ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
HAR KHANNDAN KE RAHAN SHAAN, KHANE PINE KI CHEEZEN AUR US KE TAREQAH, AWQAT, KHANDANI PAKANE KE RASMO RIWAJ, ZABAN ALAG ALAG HOTI HAI,
MOHABBAT BAQI RAHE AUR APAS ME KISI QISM KA JHAGDA NA HO IS LIYE IN CHEEZON KA AAPAS ME MILNA ZAROOREE AUR BEHTAR HAI,
AUR UNCHE KHANDAN WALE NICHE KHANDAN WALE LADKE SE NIKAH KARE TO INSANI MIJAZ USEY AEB AUR SHARM SAMJHATA HAI, HALAN KE YE CHEEZEN AEB AUR SHARM KI NAHI HAI, AUR HAR CHEEZ ME ASAL TAREEQAH KA TO SHAREEAT HI KA HONA CHAHIYE, AUR ASAL IZZAT KI CHEEZ TAQWA AUR PARHEZGARI HI HAI,
LEKIN SHAREEAT NE NIKAH KE NAZOOK RISHTE KO NIBHANE KE LIYE KUFU- NIKAH ME BARABARI KI RIAAYAT KO ZAROORI QARAR DIYA, SATH SATH ME NIKAH KE WALI (NIKAH KARNE KA IKTIYAR RAKHNE WALE RISHTEDAR) KI IJAZAT SE GAIR BARABARI ME NIKAH KARANE KA IKHTIYAR DEKAR ASAL SHARAEE QANOON KO BHI MALHOOZ RAKHA.
📗DARSE TIMIZEE 4/349 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
15 RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment