Monday, December 24, 2018

MERRY CHRISTMAS KEHNE KA HUKM

*MERRY CHRISTMAS KEHNE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1588⭕

Merry Christmas ka ma'ana baaz kehte hai ke "mubarak ho khuda ko beta huva hai" hota hai ke to kya us kehne se kafir ya mushrik ho jayega?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

merry ke ma'ane khushi Christ ke ma'ane maseeh-isaa mast ke ma'ane jamaa hona pura ma'ana huva isaa ki khushi me jama hona ya'ani unki wiladat ki khushi me jama hona.

Aap ne jo bataya wohi us ka lafzi tarjamaa nahi hota lekin aisa kehne me unka yahi aqeedah aur maqsad Chhupa hota hai lihaza lafzi tarjama kufr ka na hone ki wajah se kufr se bachane ki ye taweel mavjood hai isliye is ka kehne wala kafir ya mushrik to na kaha jayega lekin kufr ke ma'ana paida hone ka abdesha-khatra hone ki wajah se aisa kehne se bachna zaruri hai aur mushabahat-copy hone ki wajah se  sakht gunehgar hoga.

📗MAKHOOZ AZ MAALA BUDDA MINHU WA OXFORD DICTIONARY

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

🖥 Urdu, Hindi, Gujarati me islahi Aur masail ke parche padhne Aur download karne ke liye Aur share karne ke liye zarur dekhe

*http://www.deeneemalumat.net*

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...