Sunday, December 9, 2018

HAZRAT FATIMA RD. KE JAHEZ KI HAQIQAT

*HAZRAT FATIMA RD. KE JAHEZ KI HAQIQAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1572⭕

Kya Huzur ﷺ apni beti fatima rd. ko jahez diya tha aur Hazrat Ali Radeeyallahu anhu ne liya tha, uski kya haqiqat hai?

Isse to jaheez ka suboot mil raha hai!

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hazrat Ali Radeeyallahu anhu ke walid Abu Taalib nihayat gareeb the, unse Huzur ﷺ ne Hazrat Ali rd. ko parwarish ke liye maang liya tha, unke paas shadi ke baad bivi ke saath alag rehne ke liye ghar ki bunyadi zarurat ka gharelu saaman bhi na tha,

Isliye Huzur ﷺ ne khud intizam kiya, woh bhi sirf apni beti Fatima rd. ko hi jahez diya is ke alawah kisi bhi beti ko jahez nahin diya.

Aaj-kal bhi koi aisa dulha ho jiske paas bivi ke saath alag rahne ke liye zaruri saaman ka intizam na ho to woh bhi jahez le sakta hai, lekin mangne ka haq nahin.

*Gharelu saaman, ghar ka intizam yeh dulhe ya uske ghar walon zimmedari hai bivi ke gharwalon ki zemmedari nahin.*

📘BAHISHTI JAHEZ SAFA 122 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : 2 RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...