*RUKHSATI KA ISAMI TAREEQA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1590⭕
Shadi ho jane ke baad dulhan ko us ke shohar ke yahsn rukhsat karne ka islami tareeqa kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Dulhan ko dulhan ke ghar ki kisi ladki ya khadimaa ke sath ya ladkon ke ghar ki aorton ke sath bheja jaye Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne apni sahabzadi hazrat fatima Radeeyallahu anha ko apni khadima umme ayman ke sath hazrat ali Radeeyallahu anhu ke yahan bhej diya tha rukhsati ke koi khas tareeqa shareeat me nahi hai lekin rukhsati nihayat sadgi ke sath honi chahiye Aaj kal raat bahut der se rukhsati hoti hai jis me fajr ki namaz qaza ya susti ke sath hone ka khatra hota hai jo bahut hi galat hai. sath me jahez ka saman bhejna zaroori nahi baad me bhi bheja ja sakta hai.
MASAILE NIKAH WA AHKAME TALAQ SAFA 125
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* : RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment