*MAGNI KI DAWAT KA HUKM*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1580⭕
Shariat me mangani kise kehte hain?
Mangni kaisi honi chahiye?
Ab hamare ilake me maganiyan bhi shadi ki tarah hone lagi hain, badi badi dawten hoti hain, mardon aur aurton ki haazri hoti hai iska kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
*_Shariat me ek fareeq ki jaanib se dusre fareeq (party) ke samne nikah ki tajweez (pukhtah irada) rakhe jaane ko "Mangni" kahaa jaata hai, jab fareeqe saani (dusri party) us tajweez ko manzoor kar leta hai to Mangni ka amal mukammal ho jata hai,_*
Shareeat ki nigah me iski haisiyat ek waade (ahdo payman, promise) ki hai, usko kisi uzre sharaee ke bagair todna gunah hai
Hazrat Ali Radeeyallahu anhu farmate hain ke Hazrat Fatimah Radeeyallahu anha ke liye paigame nikah lekar me Huzoor ﷺ ki khidmat me haazir huva, jab Aap ﷺ ke saamne baitha to khamosh ho gaya, khuda ki qasam, ke roab aur jalaal ki wajah se kuchh bol na saka, Khud Aap ﷺ ne daryafat kiya ke kaise aaye ho? Kya koyi kaam hai? Me khamosh raha tab Aap ﷺ ne farmaya shayad Fatimah ki mangani ke liye aaye ho mene arz kiya jee haan.
📗(AL BIDAYAH WAN NIHAYA 3/346)
Jise bargah e khudawandi me qubul farma liya gaya, bas zubani ke taur par sab kuchh tay ho gaya, na log ikaththha huve, aur na koyi aehtamam huva.
📗Muasharti. Masail safa 75
Lihaza mangani ke kiye sabko jama karna, badi ta'adad me mardon aurton ki haazri, unki dawat wagairah shar'an zaruri aur pasandidah nahin, balke khawateen (aurton) ki mavjoodgi jin kharabiyon ko paida karti hai, woh log jante hi hain is se bachna zaruri hai.
📕MANGANI SHADI KE MUTALLIQ PESH AANEWALE MASAIL KA HAL SAFA 13
🌙10 RABEEUL AKHAR 1440 HIJRI
🖋AZ QALAM PIRO MURSHID HAZRAT AQDAS MUFTI AHMAD KHANPURI SAHAB D.B.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, Indi
📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
No comments:
Post a Comment