Friday, July 20, 2018

TIN TALAQ EK SATH KYUN HO JATI HAI?

*TIN TALAQ EK SATH KYUN HO JATI HAI?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1422⭕

Aaj kal log tin talaq sath me hi de dete hai lihaza aesa kuchh hona chahiye je us se talaq waqia hi na ho ya tin talaq ek hi waqia ho aur nikah ka rishtah khatm na ho?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Deen ke ahkam me galti nikalna ya us ko apni khahish-manmaani ke tabia karna iman ko barbad karnewali cheez hai han kabhi aesa waswasah aaye ya koi gair muslim sawal kare to in ko ye jawab diya jaye ke tin talaq ek sath dena islam me sakht haraam aur saza ke qabil gunah hai tin tlaq ek sath hargiz nahi deni chahiye.
balke ek char step hai pehle bivi ko samjhaye fir bhi na mane to ka bistar alag kare fir bhi qabu me na aaye to halki mar mare fir bhi qabu me na aaye dono khandan ke zimmedar milkar suleh ki koshish kare fir bhi jhagda khatm na ho to ek hee talaq deni chahiye lekin kisi ne fir bhi tin di to us ka asar zaroor hoga yani waqia ho jayegi.

jaise ke hukoomat ka qanoon hai poliswalon ko ke koi jurm: gunah log kar rahe hon to us ko rokne ke liye tiyargas ke shale fode jaye ya pani ka mara chalaye jaye is se qabu me na aaye to lathi charge kiya jaye is se bhi qabu me na aaye to per par goli mari jaye fir bhi qabu me na aaye to fir use sine me goli markar khatm kiya jaye.
lekin polis is tarteeb par na chale aur kisi ko rokne ke liye dairect goli chala de to us ka asar hoga ke us se mujrim zaroor marega.
zahar nahi khana chahiye lekim kisi ne kha liya to us ka asar hoga khanewala marega hee.
chhori se fal hi kaatna chahiye kisi insan ka gala katne ki ijazat nahi fir bhi kisi ne kisi ke gale par chhori chsla dee to us ke asar se gala zaroor katega.
ye kaise ho sakte hai goli tin chalaye aur ek hi nikale
chakku ke ghaw tin mare aur zakham ek hi ho.
tin ruiye bole ya likhe jaye aur us ko ek hi samjha jaye aesee hazaron misale milegi jis se ye sabit hota hai koi gair qanoonee kaam nahi karna chahiye fir bhi kisi ne galti se bhi woh kaam kar diya to us ka wajood-paya jana to hoga hi.
jab in dunyawi misalon par ishkal-aetaraz nahi to deenee ahkaam-masaail par kiyun aetraz hota hai maloom huwa ke deen se muhabbat ki kami hai aur quraan hadees par iman kamzor ho chuka hai.

و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...