Saturday, July 14, 2018

HAAJIYON KA DA`WAT KARNA YA UN KO DAWAT KHILANA

*HAAJIYON KA DA`WAT KARNA YA UN KO DAWAT KHILANA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1416⭕

Haajyon ka hajj ke liye  jaane se pehle da'wat karna ya unko da'wat khilana kaisa hai?

Hamare ilaqe me usko zaruri samjha jaata hai aur usme tamaam rishtedar aur doston ki da'wat ki jaati hai Log apne par hajj farz hone me in kharchon ko bhi shumar karte hain to aisi da'wat karna ya usme sharik hona kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

مدا و مصلیا و مسلما

Hajj ke liye jaane se pehle nafse dawat karne me koi haraj nahin Shari'at ke kisi hukm ki khilaf warzi ki naubat na aaye to jaiz hai,

Lekin aaj kal haaji ki da'wat karne me ya unko da'wat khilane me jo kharabiyan paida ho gayi hain uski wajah se yeh da'wat karna ya khilane ka tariqah qabile tark (chhod dene ke qabil) hai.

Kyun ke da'wat ko zaruri samjhna Huzur SALALAHU ALAYHI WASALLAM, sahaba e kiram Radeeyallahu anhum, ayimah e mujtahideen, salaf e saliheen se saabit nahin is me haaji ba qaidah apne hajj ka aelan karta hai, taswir khinchwata hai, naare lagwata hai, is da'wat ke zariye riya kaari aur fakhr garoor me mubtala hota hai,
hajj ke naam par mardon aurton ka melap aur bepardagi hoti hai jaane se pehle kapda, lifafe wagairah tohfa dena aur wapasi par uska aewaz tamaam dene wale ko lotana zaruri samjha jaata hai in kharchon ko bhi hajj farz hone ke kharche me shamil samjha jaata hai in kharchon ko pura karne ke liye ba'az log sudi qarz tak le lete hain.

Lihaza aisi rasmi da'wat karne aur khane aur khilane se parhez karna chahiye

📗FATAWA QASMIYAH JILD 12 SAFA 176 Se 179 KA KHULASAH

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 1 ZEE QADAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl/

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...