Sunday, July 8, 2018

FACEBOOK KA ISTEAMAL

*FACEBOOK KA ISTEAMAL*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1409⭕

Mene falastin par zulm ke waqiah ke baad facebook isteamal karna band kar diya hai.

Mujhe social network shurua karna hai to kya me ya koi aur dobarah facebook isteamal kar sakta hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Facebook ke jaiz aur mubah programmes ko dekhna aur us silsilah me uska isteamal agarche apni zaat ke aetibar se jaiz hai, Magar gairate islami ke khilaf hai, Isliye ek musalman ko facebook ke jaiz isteamal se bhi bachna chahiye illa yeh ke islam ke difaa (difance) aur kisi galat cheez ko rokne ke liye isteamal kiya jaye jabke galat programme to kisi bhi network je zariye dekhna haraam aur us se bachna wajib hai.

📑FATAWA BINNORIA SERIAL NO. 10077
✏MUFTI MAHBOOBE ILAHI DARUL IFTA BINNORIA

HAZRAT SHAIKH HANIF SAHAB LUHARWI SHAIKHUL HADEES JAMIA QASMIYA KHAROD GUJRAT KHALIFAH E HAZ. SHAIKH YUNUS JONPURI FARMATE HAIN *jiska khulasah hai ke" Facebook yeh gandi aur be hayai ki dunya hai is  par hamare pyare Nabi Salallahu Alayhi Wasallam ki tasweer rakhi gayi hai jisko hataya nahin jaa raha hai ham jab facebook kholte hai to uske malik ko ek dollar milta hai Nabi ke gustakh ko ham faidah pahoncha rahe hain agar ham us tasweer ko hata nahin sakte hain to kam se kam Nabi ki muhabbat me us gustakh ko facebook ke zariye faidah pahonchana chhod de*

*Nabi ko hamara yeh amal pasand aa jayega to Nabi hame ungali pakad kar jannat me dakhi karayenge."*

Ahqar kehta hai ke facebook par nigah ki hifazat bahut mushkil hai lihaza isko aehtiyatan isteamal nahin karna chahiye jise islam ke difaa ya uski isha'at ke liye ko isteamal karna ho kisi buzrug-allahwale ke mashware se isteamal kare aur unhe apne haalat ya'ani faidah nuqsan ki ittilaa deta rahe.

*Aur musalman jawan aurten to hargiz isteamal na karen unhe rok den hamari ladkiyan jo zina me mubtala ho rahi hain ya gairon ke saath shadi kar rahi hain uski wujuhaat me se ek wajah facebook ka isteamal bhi hai.*

و الله اعلم بالصواب

✍🏻TASDEEQ WA IZAFA
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...