Friday, July 6, 2018

CHAND LAKH RUPIYE DEKAR FIX NAFA LENA*

*CHAND LAKH RUPIYE DEKAR FIX NAFA LENA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1408⭕

Aaj kal ye aam baat hai ke ek aadmi kehta hai ke tum mere karobar me masalan ek lakh rupiye roko- invest karo me tum ko har mahine kabhi 5000 panch hazar nafa, kabhi 4 hazar nafa, kabhi 3000 nafa dunga to kiya is tarah nafa lena jaiz hai.?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Kisi karo bar me is tarah paise dena ke tum tijarat karo nafe me ham dono shareek honge shareeat ki istilaah-khas zuban me is ko muzarabat kahte hai muzarabat durust hone ke chand sharaait hai us me se ek shart ye bhi hai ke munafe me dono ke hisse mutayyan ho aur woh bhi is tarah ke ye nafa sare hisse me fela huwa ho masalan aadha,ek tihai-one thard, paaw wagairah take ke hisab se ho.
agar dono me se ek ke liye nafe ki raqam mutayyan-fix kar di to muzarabat fasid ho jayegi

puchhi hui surat me bhi ba zahir nafa fix nahi lag raha hai lekin haqeeqat me ye bhi ek tarah ki fix nafa hi hai (kyun ke andazan apne nafe ka hisab kiye bagair de raha hai) is liye ye ye aqd saheeh nahi balke agar nafa na huwa fir bhi us se raqam li gai to ye sood hoga nuqsan me bhi shareek hona zaroori hai. bihar haal ye muaamalah ki surat saheeh nahi

📕MAHMOODUL FATAWA 4/558 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...