Sunday, July 15, 2018

MAQROOZ (QARZDAAR) KE HAJJ KE LIYE JAANE KA HUKM

*MAQROOZ (QARZDAAR) KE HAJJ KE LIYE JAANE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1417⭕

🔴SAWAL🔴

1. Qarz-daar ka hajj ke liye jAane ka kya hukm hai..?

Aur

2. Qarz-daar ka nafli hajj ke liye jaane ka kya hukm hai..?

Aur

3. Tijarati qarzon ka kya aeitbaar hai..?

🔵AL JAWABAAT🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1. Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba (demand) na ho, aur woh ba-khushi hajj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarz-daar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa de, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaaye aur woh ijazat de den to woh shakhs hajj ke liye jaa sakta hai, us shakhs per jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh de, aur warison ko taakid kar de ke agar meri maut ho jaaye aur mere  zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaaye, agar tarke me gunjaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf karaa dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che farizah adaa ho jayega,

Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunjaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyadah aehmiyyat hai,

Intezam hote huve bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baaqi rakh kar wahaan lambi chodi khareedi karne ki ijazat qarz khwah ne nahin dee hoti hai. uski ijazat alag len)

Hadis sharif me hai ke : Maal daar ka Taalmatol [aanaakaani] karna zulm hai.

2. Jo shakhs farz hajj adaa kar chuka ho aur nafli hajj karne jaana ho to nafli haj se behtar yeh hai ke qarza adaa kare, (is baare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil garibi ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaygi ke aehmiyat hajj e nafl se kahin ziyadah hai.

📗Fatawa Rahimiyah 8/282,

ba hawala Shaami 2/205, Durre mukhtar 2/191]

3. Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hain, isme daakhil nahin, aise qarzon ki wajah se hajj ko muakhkhar [multavi, cancelled] nahin kiya jayega.

📕Ahkaamul hajj safa-24, Haz. Mufti Shafi sahib rh.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat,
Gujarat

Www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...