Tuesday, March 29, 2016

WUZU KO TODNEWALI CHEEZON KI TAFSEEL

WUZU KO TODNEWALI CHEEZON KI TAFSEEL

⭕AAJ KA SAWAL NO.641⭕

Wuzu kin cheezon se tutta hai tafseel ke sath batanr ki darkhast

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Wuzu aanth cheezon se tootta hai
1.Aage ya pichhe se kisi cheez ka nikalna:
Pakhana, Peshab or hava jo pichhe se nikle, usse wuzu tut jaata he. Han agar age ki raah se hava nikle jese kabhi bimari se aisaa hota he to usse wuzu nahi tutta.

2.Khun ya Peep nikalana:
agar kisine fasd li ( nashtar lagvaya) ya nakseer futi ya chot lagi aur khun nikal aaya. Fode -Funsi se ya badan bhar me aur kahin se khun nikla ya pip nikla  to wuzu jata raha. han agar zakham ke muh hi par rahe zakham ke muh se aage badhe nahi to wuzu nahi gaya. aur agar kisi ko suee chubh gayi aur khun nikal aaya lakin baha nahi to wuze nahi tuta aur zara bhi beh padha to wuzu tut gayaa.

2.Jama huva khun nikalna:
Agar kisine naak sinki-jhadi aur us me jame huve khun ki tukdiyan nikli to wuzu nahi gaya. wuzu jab tutta he ke patla khun nikle aur beh padhe, so agar kisi ne apni naak me ungli daali ,fir jab usko nikala to ungli me khun ka dhabba malum huva, lakin vo khun bas itna hi he ke ungli me to thoda sa lag jata he lakin behta nahi to usse wuzu nahi tutta.

Kaan me fodi futna:
kaan ke ander dana ho aur tut jaye to jab khun-pip surakh ke ander us jagah tak rahe jaha paani pahochana gusal ke vaqt farz nahi he, tab tak wuzu nahi jaata aur agar us jagah par aa jaye ke jaha paani pahochana farz he (kan ke bahar ka nazar aane vala hissa) to wuzu tut jayega.
Kan Behna:
kan se pip ya khun baha aur voh us hisse tak aa gaya jaha dhona gusal me farz he to wuzu tut jaye, kan se sirf  paani nikla to ye dekha jayega ke ye paani taklif ke saath nikla hai  to wuzu tut jayega aur agar bila taklif nikla hai to wuzu nahi tuta.
📗SHAMI ZAKARIYAH 1/276 SE MAKHOOZ

Zakham ka chhilka nikalna:
kisine apne fodde ya chhale ke upar ka chhilka noch dala aur uske niche khun ya pip dikhayi dene laga, lakin khun-pip baha nahi to wuzu nahi tuta, aur agar beh pada to wuzu tut gayaa

و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...