Thursday, March 17, 2016

NAMAZ KE MUFSIDAT

NAMAZ KE MUFSIDAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.631. ⭕

Namaz ka fasid hone ka kya matlab?
kin cheezon Se faasid ho jati hai-toot jati hai?

🔵JAWAB🔵

namaaz ke mufsidaat un chizo ko kehte he jin se namaaz faasid ho jaati he, yani tut jaati he aur usey lotaana zarooree hai jaan bujh kar ho ya bhul kar,har surat me namaaz tut jaati hai. Namaz ke mufsidat hasabe zail hai

(1) namaaz me kalaam (baat) karna jaan bujh kar ho ya bhul kar, thora ho ya bahut, har surat me namaaz tut jaati he.

(2) be zarurat khankhaar ne aur galaa saaf karne se jis se aek aadh harf (lafz) bhi pedaa ho jaae to namaaz tut jaati he,
haan ! majburi ke waqt khankhaar na durust he aur namaaz nahee jaati.

(3) kisi khat ya kisi kitaab par nazar padi aur us ko apni zaban se nahee, lekin dil hi dil me matlab samajh gaya to namaaz nahee tuti,
haan ! Agar zaban se padh le to namaaz jaati rahegi.

(4) salaam karna yani kisi aadmi ko salaam karne ke iraadah se salaam ya Allah hafiz ya assalaamu alaikum ya isi jesa koee lafz keh dena.

(5) salaam ka jawaaab dena ya chhink ne waale ko yarhamukAllaah ya namaaz se baahar waale kisi aadmi ki duaa par aamin kehna.

(6) kisi buri khabar par ‘innaa lillaahi wa innaa ilaihi raajioon’ padhna ya kisi achchhi khabar par ‘subhaanAllah’ kehna.

(7) dard ya ranj ki wajah se aah..
ya aoh... ya uff... karna.

(8) apne imam ke siwaa kisi dusre ko luqmah dena yani qiraat (galati) bataana.

(9) quraan sharif dekh kar padhna.

(10) quraan majeed padhne me koee bari Galati karna.

(11) amale kasir karna yani koee aesa kaam karna jin se dekh ne waale ye samjhe ki ye aadmi namaaz nahee padh rahaa he. Masalan do haath se topi durust karna ya dono haath chhod kar aastin utaarna.

(12) khana-pina iraade se ho ya bhul se.pehli hi se munh me koi cheez ho to Chane ke barabar ho to fasid aur munh ke bahaar se khaye to til ke barabar ho to fasid hogi.

(13) do safo ki miqdaar ke baraabar chalna.

(14) qible ki taraf se binaa majburi sinah pher lena.

(15) naapaak jagah par sajdah karna.

(16) satar khul jaane ki haalat me aek rukn yani teen baar subhaan rabbiyil aalaa kehne ki miqdaar therna.

(17) duaa me aesi cheez maangna jo aadmiyo se maangi jaa ti ho, jese ya Allah mujhe aaj so (100) rupye de de.

(18) dard ya musibat ki wajah se is tarah rona ki aawaaz me huroof zaahir ho jaae.allah aur jahannam ke khof se aesa roye to fasid na hogi.

(19) baalig aadmi ka namaaz me qahqahaa maar kar (pura mu khol kar) aawaaz se hansna.

(20) imam khade rehne me aage badh jaana wagerah…

📗TAALEEMUL ISLAAM
📘MASAILE NAMAZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...