Friday, March 18, 2016

RAMZAN & QURAN KI MUBARAKBADI.

RAMZAN & QURAN KI MUBARAKBADI.

⭕AAJ KA SAWAL NO.632 ⭕

A.
Kya aesa hadees me hai ke jis ne ramzan ki khabar dee us par jahannam ki aag haram hai.?

B.
isee tarah quran shareef  ke utarne ko ek saal pura ho to mubarakbadi denee chahiye.?

C.
hazrat fatimaa radee allahu anhaa aur hazrat zainab radeeallahu anhaa aur shaikh ahmad Ka madeene Ka khaab aane ka parcha chhapane ya sms bhejne se murade puree hona aur Na bhejne Se nuqsan hona saheeh hai..?

🔵JAWAB🔵

A.
Ramzan ki khabar dene ki fazeelat par koi hadees sabit nahi, kisse aur  jhuthi baton ki nisbat huzoor صل اللہ علیہ وسلم ki taraf karna kabeerah aur bahot sakht gunah hai.
Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai jis ne mere upar janbujh kar juth bandha (Buhtan lagaya) woh apna thikana jahannam me banaye.
📘BUKHARI SHAREEF

B.
quraan ke saal pure hone ki mubarakbadi dena.
ye sms rozana kisi na kisi group me aata hai to kiya rozana ek saal pura hota hai ??
quran to ramzan ki shabe qadr me mukammal nazil huwa us waqt saal pura hota hai. Na ke rozana saal pura hota hai, fir aese mubarakbadi na quran se sabit na hadees se na sahaba radee allahu anhum ne dee na tabiyeeen, tabe tabiyeen, awliya e kiraam rahmatullahi alayhim ne dee.
lihaza ye mubarakbadi bidat hai, aese sms hargiz nahi bhejna chahiye bajaye sawab ke bada gunah Hota hai.

C.
Aese khawabon ka sms karna jis me koi amali pegam Na ho fuzool hai. Amali pegam bhi ho to murade amal karne se puri hoti hai sirf sms bhejne Se nahi puri hoti.
Nuqsan kisi gunah karne se hota hai sms bhejna, parcha chhapana farz nahi.sms na bhejne se ya parcha Na chhapane se nuqsan nahi hota.haan namaz parhne Se rozi me barkat hoti hai na parhne Se rozi tang hoti hai, 5 waqt ki namaz ke aehtamam ki fikr nahi ye sab shatanee dhoke hai.
Lihaz koi bhi sms bagair hawale Ka hargiz na bheje, baat hawale ke sath ho lekeen nayi maloom hoti hai ya us mamooli amal ki fazeelat bahot zayada hai Ya mamooli ki gunah ka nuqsan bahot zayada to hawala ho to bhi ulamma ko puchhe bagair hargiz Na bheje, aesee hadeeson ke banawati hone ka imkan-chances hai.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...