MERE MARNE KE BAAD KA HADYAA
⭕AAJ KA SAWAL NO.621⭕
Walid sahab ne kaha ke ke mere marne ke baad fulan dukan aur makaan tera hai is me tere bhaiyon ka koi hissa nahi tune meri bahot khidmat ki hai unhone meri koi khidmat nahi ki hai is baat ke mere paas do sharee gawah bhi hai ab walid sahab ka intiqal ho gaya to woh dukan aur makan me dusre bhai hissa mangte hai to kya un ka hissa mangna saheeh hai un ko hissa milega?
🔵JAWAB🔵
Puchhi hui surat me aap ke walid ne apni hayati me dukan aur makan ka qabzah dekar aap ko malik nahi banaya balke aap ke malik hone ko apni wafat ke baad thhehraya lihaza aap us dukan aur makan ke malik bane hee nahi the lihaza us dukan aur makan me aap ke dusre bhaiyon ka hissa lagega aur un ko hissa dena zarooree hai ye miraas-warsaa hai insan ke marte hee maal allah ki milkiyat me shumar hota hai aur meeraas ke hisse ye allah taala ne apne fazal aur hikamat se tay kiye hai ye hisse kisi khidmat aur neki ka aewaz nahi.
lihaza aap ne jo khidmat ki us ka mustaqil behtreen alag badla allah aap ko dunya aur aakherat me dega.
📗LUBAAB SHARHE QUDOOREE 3/93 AUR FATAWA MAHMOODIYAH SE MUSTAFAD
✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment