Sunday, March 13, 2016

NAMAZ KI 51 SUNNATEN

NAMAZ KI 51 SUNNATEN

⭕AAJ KA SAWAL NO. 628⭕

Namazon ki kitni sunnaten hai? Aur kon kon see?
In sunnaton par amal karna zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

Namaaz ki 51 sunnaten hain ye sunnaten chhut jaye to namaz ka fareezah to zimme Se Utar jayega.lekeen namaz me khusooa Aur khuzooa paida na hoga aur namaz Allah ki baargaah me qubooliyat ke darje ko nahi pahonchegi,
lihaza in faidon ko hasil karne in sunnaton ka aehtamam karna zarooree samjhna chahiye. jo hasabe zail hai.

(1) takbere tahreemah ke waqt sidhe khare hona. sar ko past aur niche na karna.

(2) dono pero ke bich me chaar ungliyo ke baraabar faaslah rakh na aur pero ki ungliya qiblae ki taraf rakhna.

(3) imam ki takbeere tahreemah ke waqt muqtadi ki tabeere tahremah ka hona.

(4) takbir ke waqt haatho ko kaano tak uthaana.

(5) dono haath ki hatheli qiblah rukh rakhna.

(6) ungliyan apni haalat par rakhna.

(7) sidhe haat ki hatheli baayen haath par rakhna.

(8) aakhri ungli aur anguthe se haath ka halqah banaa kar pakadna.

(9) mardo ko naaf ke niche haath bandhna.

(10) sanaa yani subhaanakallaahumma ka padhna.

(11) bich ki tin ungliyo ka baaen haath ke pohcho par milaae bager rakh na.

(12) aoozu billaah ka padhna.

(13) bismillaah ka padhna.

(14) aahistah se aameen kehna.

(15) fajr ki pehli rakat taweel karna.

(16) qiraat ka na jaldi, na dhire, balke darmiyaani raftaar se qiraat ka padhna.

(17) farz namaazo ki tisree chothi rakat me surah e faatihah ka padhna.

(18) ruku ki takbeer kehna.

(19) ruku me dono haatho se ghutno ko baraabar achchi tarah pakadna.

(20) pindliyo ko ruku me sidha karna.

(21) rukua me pith ko bichaa dena, unchi na rahe.

(22) ruku me sar aur surin-dhagri sidhe meek line rakhna.

(23) ruku ki tasbeeh tin baar padhna.

(24) jamaa’at ki namaaz me ruku se uthne par imaam samiallaahu li man hamidah kahe.

(25) sajadh ki takbeer ka padhna.

(26) sajdah me pehle ghutno ko rakhna.

(27) phir dono haatho ko rakhna.

(28) phir naak ka rakhna.

(29) phir peshaani ka rakhna.

(30) dono haatho ke bich me sajdah karna.

(31) sajdah me pet ka raano se alag rakhna.

(32) pehlu’wo ka baazu’wo se alag rakhna.

(33) kuhniyo ko zameeen se alag rakhna.

(34) sajdah se uthne ki takbir kehna.

(35) sajdah se uthte waqt pehle peshaani phir naak phir haath ka phir ghutno ko uthaana.

(36) dono sajdah ke darmiyaan me itminaan se bethna phir dusra sajdah karna.

(37) qa’dah me daayaan (sidha) per khara rakhna (is tarah ke us ki ungliyo ke sire qible ki taraf rahe) baayaan per ko bichaa dena.

(38) qa’dah me haatho ko raano par rakhna.

(39) qa’dah me ash’hadu Allaa par kalimah ki ungli uthaana aur illallaah par rakh dena.

(40) aakhri qa’dah me durood sharif padhna.

(41) durood sharif ke ba’d duaae maasurah padhna.

(42) dono taraf salaam pherna.

(43) pehle daayen taraf salaam pherna.

(44) imam ko salaam ke waqt muqtadi-firishto aur nek saaleh jinnaat ki niyyat karna.

(45) muqtadi ko imam aur in tamaam ki niyyat karna.

(46) akele namaazi ko sirf firishto ki niyyat karna.

(47) muqtadi ka imam ke sath me salaam pherna.

(48) pehla salaam imam ko zaraa si bulandi se padhna aur dusra salaam zaraa aahistah se kehna.

(49) masbuq (jis ki koee rakat chhut gaee ho) ko imam ke faarig hone ka intizaar karna.
(50) ruku me haath ki ungliyo ko phelaana aur sajdah me haath ki ungliyo ko milaa dena.

(51) sajdah ki haalat me dono pero ko zamin par jamaae rakhna.

📕(shaami-1/748,
📗aalamgiri,
📘talimulislaam-3/89,
📙masaaile namaaz-122)

Note:- upar likhkhi gaee 51 sunatte mardon ke liye hai aur is me se ba’z sunnato ko ba’z ulama’o ne mustahab likhkha he.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...