Sunday, March 20, 2016

🚊TRAIN ME NAMAZ KA TATEEQAH 🚊

🚊TRAIN ME NAMAZ KA TATEEQAH 🚊

⭕AAJ KA SAWAL NO.634 ⭕

Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai ?

🔵JAWAB🔵

Train me namaz kisi badey station (woh jaga jahan train zayada der rukti hai) ya station par utar kar namaz padhni chahiye.
Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz ka waqt makrooh ya qaza hone ka khatra ho to train me hee khade ho kar qibla rukh namaz padhe.puree namaz me akhir tak qibla rukh hona zarooree hai. jaise jaise train qibla rukh se ghume namazee ko bhi chahiye woh bhi chalu namaz me qible ki taraf ghum jaye.
Bhid bahot zayada ho jis se qibla rukh hona mumkin na ho ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya zayada mashaqqat ho to farz namaz bhi beth kar padhne ki gunjaish hai.
agar itni bheed hai ke harkat bhi na kar sake rukooa, sajda ka isharah  kar ke namaz ishare se padhe.
aese haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahee,
Lekeen aesee namaz ko qudrat hone par lotana ya qaza karna zarooree hai.
padhne ka faidah ye hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is namaz ki puchh na hogi.
aur zayada mashaqqat ya zayada bhid na ho to qayam karna aur qibla rukh hona zarooree hai. mamooli mashaqqat ya mamooli bheed ki wajha se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.

📗( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala
📘jadees fiqhee masail 1/128. fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, 📙ahsanul fatawa 4/88 aur digar kutube fiqhe arabiyyah)
📔(Fatawa abdul gani safa  208)

👉Note:
baaz traino me darwaze ke paas zayada jagah hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.
samne se gair muslim log guzarte ho to  bhi namaz ho jayegi. ise uzr na samjhe.
Jaldi ho to qadah me koi bhi mukhtasar durood padhe. duaa e masoorah ki jaga koi bhi chhoti duaa, masalan Allah hummag fir lee wagairah padh ke salam fer de.
Allah taala ham ko har haal me namaz ka aehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.aameen.

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

1 comment:

  1. agar koi chalu train me namaz padhe to namaz jaiz hogi ? kyu train chalu to namazi hilta rehta hai

    ReplyDelete

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...