FAAL NIKALNA/NAJOOMEE KE PAAS JAANAA
⭕AAJ KA SAWAL NO.625⭕
Faal nikalna kaisa hai? Kisi kitab ya quran ke safe ko khol kar bagair dekhe kahin bhi hath rakha jaye achchhi aayat ho to achha matlab aur waeed ki aayat ho to bura matlab lena Jaiz hai?
najoomi-jayotishi ke paas jaakar chor kon hai? ya khoyi hui cheez kahan hai? wagairah gaib ki baten maloom karna kesa hai?
🔵JAWAB🔵
Nek faal li ja sakti he badfali lena jaiz nahi.nekfali ko yaqeeni chiz na samjha jaye, albatta nujumi aur kaahin ke paas jaa kar faal nikalwana aur unse gaib ki bate malum karna gunahe kabeerah he,
Hadith sharif me he ke: “jo nujumi ke paas gayaa aur uski baat ki tasdiq ki,pas tahqiq ke wo us chiz se bezaar huwa jo Muhammad ﷺ par utaari gayi” yani kaafir huwa woh shskhs jo aisa karne ko halaal jaane ya hadees me aise kaam se daraya hai ke isme kaafir hone ka andesha hai
📗(fatawa rahimiyah:10/470 bahawala mazahire haq.
✏MUFTI SIRAJ HARANGANV CHIKHLI GUJRAT
No comments:
Post a Comment