Friday, March 11, 2016

CHOR KA PATAA LAGAANA

CHOR KA PATAA LAGAANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.626⭕

A. Baz aamil yaasin sharif parh kar choron ke naam lete hai jo chor ho us ke naam par lota ghumta hai ya ande me chor ki surat bachche ko dikhaate hai wagairah amal ke zariye chor ka pataa lagaate hai to jis ke baare me pata chale us ko chor maanna sahih hai?

B. Aur najumi -jayotish ko hath dikhaana ya mustaqbil(future) aayindah ki baaten puchhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

In amaliyat ke zariye jis ka chor honaa pataa chale us ko yaqini taur par chor samjhnaa jaaiz nahin.
Balke us par shubah -shak kar ke sharee tariqah se us ki tahqeeq-chhanbin ki jaye.
Awaam us Ko chor samajhti hai yeh sharee had se aage barh jana hai.

📗IMDADUL FATAWA 4/88 SE MAKHOOZ

B.  Hazrat jaabir bin abdullah se marwi hai ke Huzoor  صلی الله عليه وسلم ne irshaad farmaya:
“Jo shakhs kisi najumi-kaahin aur faal wagairah dekhnewaale ke paas aaya aur usne uski baat ko sachcha samjha to uski Chalis 40 din Ki namaz qabool nahin hoti”

📘MUSNADE AHMAD

Kal sawal no. 625 me bhi Is bare me ek hadees bheji thi jis Ke rawi imran ibne husain رضی اللہ عنہ hai uska khukasah hai aisa aadmi Qur'an ka Inkaar karnewala hai aur Huzoor صلی الله عليه وسلم aise logon se bezaari-nafrat farmate hai

📕TABRAANI

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...