Monday, March 14, 2016

NAMAZ KE  MAKROOHAT

NAMAZ KE  MAKROOHAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.629⭕

Namaz me Makrooh kaam ho jaye to kya hukm hai?

Namaz ke makroohat kitne hai?

🔵JAWAB🔵

makruh woh chiz he jisse namaaz to nahee tutti lekin sawaab kam ho jaata he aur gunaah hota he.

(1) sadl yani kapdo ko latkaana jese chaadar sar par daal kar us ke dono kinaare latkaa dena, ya kafni ya kot ya sherwaani biger us ke ki aastino me haath daale jaae kandho par daal lena.

(2) kapdo ko mitti se bachaane ke liye haath se rokna ya sametna.

(3) apne kapdo ya badan se khelna.

(4) mamuli kapdo me jinhe pahan kar mjma me jaana pasand nahee kiyaa jaata, namaaz padhna.

(5) munh me rupyah ya pesa ya aur koee chiz rakh kar namaaz padhna. jis ki wajah se qiraat karne se majbur na rahe, aur agar qiraat se majburi ho jaae to bilukul namaaz na ho gi.

(6) susti aur be parwaahi ki wajah se nange sar namaaz padhna.

(7) paakhaanah ya peshaab ki haajat hone ki haalat me namaaz padhna.

(8) mardo ko apne baalo ko sar par jama karke chota baandhna. aurto ko aesa kar ke namaaz padhna behtar he.

(9) kankariyo ko hataana, lekin agar sajdah karna mushkil ho to aek baar hataane me haraj nahi.

(10) ungliyaan chtakhaana ya aek haath ki ungliyan dusre haath ki ungliyon me daalna.

(11) kamar ya kokh ya kulhe par haath rakhna.

(12) qible ki taraf se munh pher kar ya sirf nigaah se idhar-udhar dekhna.

(13) kutte ki tarah bethna, yani rane khari karke bethna aur raano ko pet se aur ghutno ko sine se mila lena aur haatho ko zammin par rakh lena.

(14) sajdo me dono kalaaiyo ko zamin par bichhaa lena mard ke liye makruh he.

(15) kisi aese aadmi ki taraf namaaz padhna jo namaazi ki taraf munh kiye betha ho.

(16) haath ya sar ke ishaare se salaam ka jawaab dena.

(17) binaa majburi chaar zaanu ya alti palti (palaati) maar kar bethna.

(18) iraadah kar ke jamaaee (bagaasah) lena ya rok sakne ki haalat me na rokna.

(19) aankho ko bandh karna, lekin agar namaaz me dil lag ne ke liye bandh kare to makruh nahee.

(20) imam ka mehraab ke andar khada hona, lekin agar qadam mehraab se baahar ho to makruh nahee, akele imam ka aek haath unchi jagah par khada hona aur agar us ke sath kuch muqtadi bhi ho to makruh nahee.

(21) aesi saf ke piche akele khada hona jis me jagah khaali ho.

(22) kisi jaan daar ki taswir waale kapde pahan kar namaaz padhna.

(23) aesi jagah namaaz padhna ki namaazi ke sar ke upar ya uske saamne ya daaen-baaen taraf ya sajde ki jagah taswir ho. (per ke niche ya piche taswir ho to makruh nahee.

(24) aayate ya surte ya tasbih ungliyo par ginna.

(25) chaadar ya koee aur kapda is tarah lapet kar namaaz padhna ki jaldi se haath na nikal sake.

(26) namaaz me angraaee lena yani susti utaarna.

(27) imaamah ke pech-nok par sajdah karna.

(28) jis jagah ye dar ho ke koee namaaz me hansaa degaa, khayaal hat jaaega to namaaz me bhul chuk ho jaaegi, aesi jagah namaaz padhna.

(29) jab bahut bhuk lagi ho aur khaana tayyaar ho to pehle khaale tab namaaz padhe. Bagair khaana khaae namaaz padhna makruh he. Ha! Agar waqt tang hone lage to pehle namaaz padh le.

(30) sunnat ke khilaaf namaaz me koee kaam karna.

(31) dusri rakat ko pehli rakat se ziyaadah lambi karna.

(32) kisi namaaz me koee surat muqarrar kar lena ke hameshah woh padhaa kare, koee aur surat kabhi na padhe

📘(taleemul .islaam-4/47 se 49,bahishti zewar-2/99 se 102 se maakhuz)

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...