Saturday, March 26, 2016

GAIR MUSLIM SE MANTAR PADHWANA I TAWEEZ LENA

GAIR MUSLIM SE MANTAR PADHWANA I TAWEEZ LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 648 ⭕

Gair muslim se ilaaj ke liye mantar padhwana jhaad-funk karvana Taweez lena kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

aesa shakhs jo mantra se ilaaj karta ho,bazariya e jhaad funk aur taweez se us se ilaaj karana jaiz nahin, usme devi devta ko shaafi (shifa dene wala) aur mutasarrif (apna ikhtiyar chalanewala) maana gaya hai aur us jhaadne wale ko us devi devta ka muqarrab tasleem kiya gaya hai, aisa aqeedah bhi islam ke khilaf hai aur kufr hai,
aur aese shakhs se jhaad funk karane me uske aqeede ki tasdeeq hai aur
dusri surat ilaaj ki ye hai ke us ke mantra me kufr wa shirk na ho lekeen usko maqboole bargahe Ilahi tasawwur kiya jaye aur ye aqeedah ho ke uski zuban se nikle huwe alfaz ba barkat aur maqbool he, jab wo dam (funk) karega to Allah Ta’la marz ko khatam farma denge,
is surat me bhi gair muslim se jhaad funk karwana goya maqbule bargahe Ilahi qarar dena hai,
haalan ke woh apne kufr ki wajah se uska mustahiq nahin hai,
usse aqaeed fasid hote hai.

📗(fatawa mahmudiyah:14/63 se makhooz)

📝NOTE📝

Khulasa ye hai ke kisi bhi haal me gair muslim se jhaad funk-dam karwana jaaiz nahi.
Kufr hai.
Aur aaj kal ye bimaari muslamano me baaz jaga aksar dekhne ko milti hai ke gair muslim saadhu pujaariyon ke paas jaahd funk karane jaate hai,
Isse bachna zaruri hai.warna Imaan ka khatra hai.

و اللہ اعلم

✏MUFTI SIRAJ SIDAAT CHIKHLI
WA IZAFA TASHEEH IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...