Tuesday, December 4, 2018

WALEEMA KITNE AADMI KO KHILAYE?

*WALEEMA KITNE AADMI KO KHILAYE?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1567⭕

Waleema kitne aadmi ko khilana chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Shariat ki taraf se iski koi ta'adaad mutayyan nahin hai, har aadmi apni khushi se apni haisiyat aur gunjaish ke mutabiq logon ko waleema khila de Huzur ﷺ ne Hazrat Abduru Rahman ibne auf (jo itne maaldaar sahabi hain ke unki wafaat ke baad unki wirasat ka sona kulhadi se tod tod kar taqsim kiya gaya) Radeeyallahu anhu ko unke nikah par farmaya,
*"Waleema karo agarche ek bakri hi ka kyun na ho"*
Is se maalum huva ke waleema ka hukm gunjaush ke mutabiq hai

📘FATAWA QASMIYA 12/572

```Sirf bilkul qareebi rishtedar ke chand aadmiyon ko bhi waleema ki niyyat se khilaye to bhi waleema ki sunnat ada ho jayegi.```

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :  26 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...