Friday, December 7, 2018

NIKAH KA AASAN TARIQAH

*NIKAH KA AASAN TARIQAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1570⭕

Nikah ka kya tariqah hai jisme konsi cheez farz, wajib hai aur konsi nahin?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Nikah naam hai do aaqil, baalig mard ya ek mard, do aurton ke gawahon ki maujudgi me mard aurat ke ijab wa qubool karne ka yani (Mard aorat ko kahe ke mane tujh se nikah kiya aorat kahe mene qabool kiya aorat mavjood na ho to us ka wakeel. Kahe maine fulan ladki ko aap ke nikah me dee mard kahe mene qabool ki nikah ho gaya)

Jisme mahar wajib hai, uska bhi nikah ke waqt hona zaruri nahin udhar (baaki, credit) bhi rakh sakte hain.

Jisme qaazi ka hona, khutbe aur valime ka hona, chhuware taqsim karna sunnat hai, farz ya wajib nahin.

Hanafiyyah ke nazdik nikah itna aasan hai ke baalig ladki ko waalidain ki ijazat bhi shart nahi balke behtar hai koyi is tarah nikah kar le to zina (badkaari) me mubtala hone ki ya gair ke sath nikaah kar ke murtad hone ki naubat hi na aaye.

📘ISLAMI SHAADI,
QANOON E ISLAM

و اللہ اعلم

🌙29 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://aajkasawal.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

🖥 *Urdu,hindi,gujrati me islahi aur masail ke parche parhne aur down lode karne aur share karne zaroor dekhe*

www.deeneemalumat.net

📱https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.grop

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...