Wednesday, December 5, 2018

ЁЯМ┤ЁЯеЫNEERA KAB PIYE KAB NAHIN

*🌴🥛NEERA KAB PIYE KAB NAHIN*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1568⭕

AAJ KAL SARDI KA MAUSAM CHAL RAHA HAI... AUR ISEE MAUSAM ME AKSAR LOG NEERA (KHAJOORI, TAADI KE DARAKHT SE NIKALNE WALA RAS) PITE HAIN,

SHARIAT KI ROSHNI ME ISKA KYA HUKM HAI AUR KAB SE KAB TAK ISE ISTEMAL KAR SAKTE HAIN?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

NEERA (KHAJOORI, TAADI KE DARKHT SE NIKALNE WALA RAS) SUBAH ME PEENA JAIZ HAI LEKIN DHUP PADNE KE BAAD US ME JHAG (FIN, FOAM) NASHA PAIDA HO JATA HAI ISLIYE DHUP PADNE KE BAAD PINE SE NASHA PAIDA NA HUVA HO TO BHI BACHNA CHAHIYE,

KYUN KE LOGON KE BADGUMAN HONE KA AUR KHUD NASHE WALA BHI PINE ME MUBTALA HONE KA ANDESHA (DARR) HAI.

APNE AAP KO TOHMAT AUR KHATRE KI JAGAH SE BACHANE KA BHI HUKM HAI

📗MAKHOIZ AZ KITABUL FATAWA 6/164

🌙27 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT

📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ЁЯФ╡JAWABЁЯФ╡ Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...