Thursday, December 20, 2018

LADKI WALON KI TARAF SE WALEEMA

*LADKI WALON KI TARAF SE WALEEMA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1583⭕

Ladki walon ko waleema karna kaisa hai?

Suna hai ke haraam hai, unki dawat nahin khaani chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ladki walon ki taraf se ladke walon ke muqabale me waleema karna saabit nahin.

Haan, agar ladke wale ladki ko lene ya shaadi me shirkat karne bataure mehman aaye ho, aur unko bulaya bhi gaya ho, fir woh kahana khayenge. 

Mehman ka ikraam  karna to shareeat ka hukm hai,

Huzoor ﷺ  apni beti ke yahaan jaate the to beti Aap ﷺ ki khatir tawazooa karti thi,

Lihaza un mehmano ke khilane ka intizam kar sakte hain.

📗FATAWA MAHMOODIYA 12/142

و الله اعلم بالصواب

*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :  13 RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
      Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...