15 SHABAN YANI SHAB-E-BARAAT KI FAZEELAT AUR TAHQEEQ
⭕AAJ KA SAWAL NO.450⭕
Shabe baraat ki fazeelat muatabar riwayat hai se sabit hai?
Gair muqallid aur baaz muqallid arab hazraat bhi inkaar karte hai us ki riwayat ko mavzooa-banawati qaraar dete hai lihaza suboot pesh karne ki guzarish.
JAWAB
Bar'aat ke lugwi ma'ni BARI hone
ke hai. Is raat me Gunahgaaro ki
Maghfirat aur Mujrimo ki Bar'aat
hoti hai islye is ko Shab-E-Bar'aat
kehte hai. Ye SHABAN ki 15th raat
hai yani 14th Shaban ke guroob se Shuru hoti hai.
Hazrat Abu Moosa Ash'ari
(Razi Allahu anhu) se riwayat hai ke
Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi
Wasallam ne farmaya:
“Allah Ta’ala Nisf Shaaban Ki Raat Ko
Asmaane Dunya Par Nuzool Farmate
Hai Aur Har Ek Ki Maghfirat farmate
Hain Siwaye Aise Shakhs Ke Jo
MUSHRIK Ho Ya Jiske Dil Me Keena
(Bugz) Ho. [Ibne Majah]
Gair Muqallideen Ke Ek Bade
Muhaddis Jin Ki Tehqeeq par Ghair
Muqallideen Ko Naaz Hai Yani
Allama Nasiruddin Albani ne ise
Hasan Kaha aur Sahih bhi Kaha.
📗[Sahih Ibne Majah Safha 414]
Naam Nihaad Amal bil Hadees ke
Dawedar ke liye ek Hadees kafi kiyun
Nahi? Jo log Hadees per Amal ke
Mud’daee hai, Unko to isme aur
Zayda Haq-parasti aur Hadees se
Dilch’aspi ka Muzahera karte hue
Isko Qub’ool karna chaiye.
Samajhdaar ke liye Ishara kafi hai!
Albani Sahab Sanad ke Mua’mle
main bade sakht hai lekeen iske
bawajood unhone Shab-e-Baraat ke
silsilse se aur bhi kayi Ahadees ko
Saheeh aur Hasan kaha hai.
Mazeed Dekhye: Silsilah Al-Ahadees
📓Al-Saheehah lil Albani p.135/3,
Raqam # 1144
🔷15 SHABAN YANI SHAB-E-BARAAT KI
FAZEELAT SABIT HAI
Ghair Muqallideen Ke aur ek bade
Muhaddis Allama Abdur Rahman
Mubarakpuriri Sahab ne Tohfatul
Ahwazi mai 15 Shabaan ke faza’el ki
Ahadees zikr kee aur unme
1. Hazrat Ayisha (Radiallahu Anha )
2. Muaaz Bin Jabal (Radiallahu Anhu )
3. Abdullah Bin Umar (Radiallahu
Anhu)
4. Kaseer bin Murra (Radiallahu
Anhu)
5. Hazrat Ali (Radiallahu Anhu)
ki Ahaadees ko jama kiya mukhtalif hadees ki kitabon se. phir Aakhir me
Apna Faisla sunaya ke
"To Ye Ahaadees Majmooi taur par
HUJJAT hain Un logo ke KHILAAF jo
ye dawa karte hain ke koi baat 15
Shaban ki fazeelat Saabit nahi,
Wallahu Ta'ala Alam."
📘[Tohfatul
Ahwazi P.441-442/3]
Scan Page:
Ghaur farmaya jaye ke Allama Abdur
Rahman Mubarakpuriri Sahab kis
Qadr wazahat farmate hai ke jo log
ye Guman kar baithe hai ke Shab-e-
Baraat ki Fazilat sabit nahi, unper ye
Ahadees Hujjat hai, agar fir bhi
unko koi na-ma’ane to kya Ilaaz
hai?
🔷YE RAAT DIGAR AUR RATO'N KI
TARHA NAHI
Ghairmuqallid Muahqeeq ubaidullah
Mubarakpuri Sahab Mishqat ki Sharha
mai Shabaan ki Darmiyani Shab
(Shab-e-Baraat) ki Fazilaat ke silsile
se warid Ahadees ka zikr karne ke
baad likhte hai:
"Ye Saari Hadees'en Shabaan ki
Darmiyaani Sab ki Azmat aur uski Shaan-e-Jalalat per Dalalat karti hai
aur usper bhi ke ye Raat DEGAR AUR
RATO'N KI TARHA NAHI hai. Lihaza
Isse ghaflat baratna Munasib Nahi,
balke Ibadat aur Dua aur Zikr aur
Fikr ke Zariye Isme Jaagna
MUSTAHAB hai."
📔[Miraat Sharha
Mishkaat p.341-342/4)
🔶TEESRI SADI HIJRI ME AHLE MAKKAH
KA SHAB-E-BARAAT ME IBADAT
KARNA
Imam Abu Abdullah Muhammad Bin
Ishaaq bin Abbas Faakihi Makki
(Mutawaffi 275 Hijri) ne Apni
Tareekh ki Kitab "Akhbaar-e-Makkah" mai ek BAAB (heading) baandha
hai:
"Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaaban
Aur Unka Mujahida Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se"
Fir likhte hain:
"Aur Ahle Makka Zamana-e-Maazi se
us din tak jab bhi pandhrawi (15)
raat ati Shabaan ki tamam Mard aur
Aurat Masjid (Haram) me Jate, Phir
Namaz padhte aur Tawaaf karte aur
sari Raat Ibadat karte.Subah tak tilawat karte
Masjid-e-Haram mein. Yahan tak k
pura Quran Mukammal karte aur
Namaz padhte. Aur unme se Baaz us
Raat 100 Rakat Namaz padhte is
tarah ke har Rakaat me Alhamd ke
baad Surah Ikhlaas 10 Martaba
padhte,(ye zarooree aur sunnat samjhe bagair padh sakte hai) aur Zam-Zam ka paani lete
aur us raat peete aur usse Gusul
karte ...... is ke zarye is raat ki
Barkat talash karte, aur is mamle
me bohot si Ahadees marwi
hain.”
📙[Akhbaar-e-Makkah p.84/3]
Shabe baraat ki ibadat,roze,aham umoor ke fesle kai zaeef riwayat se sabit hai mukhtslif riwayat se suboot aur Salaf ka mutawatir mamool hone ki wajha se riwayat hadde tawatur ko pahonchkar us ka zuaf door ho jata hun msj ko ab mukhtasar karte huwr un ki riwayaton aur kitabon
📚ke sirf hawale pesh Karta hun riwayat ka matan munazire ahle sunnat maulana ilyas sahab ghumman ke urdu sms me dekh sakte ho.
📗 suabul iman lil bayhaqee hadees no.3554,3556,3/378
📙jamiul ahadees lis siyooti no.7265
📘kanzul ummal no. 7450
📔 majmauz zawaid no. 12957
📓attargeeb wat tarheeb 4190
📗attargeeb lil munziri 1547
📙 mishkat no.1305
📘kitabul umm lish shafiee 1/231
📔sunane kubraa lil bayhaqee 3/319
📓ibne maajah 1388
📕tirmizi 739
KHULASAH: In Hawalajaat aur
Tafseelaat se Wazih hogaya ke
“Shab-e-Baraat” ki Fazilaat sabit hai
aur khud Ghairmuqallid Ulama Iske
Qayil hai aur Raat main jagne aur
Ibadat karne ko Mustahab qarar
dete hai.Magar afsos Aajke (Naam
Nihaad) Ahle Hadees logo’n ka Aam
Nuqt’a-Nazar hogaya hai ke
“Shab-e-Baraat” koi cheez nahi. Dua hai ke Allah Rabbul Izzat saheeh
Faham aur gehri Nazar ata farmaye
aur har Ek ko Qub’ool-e-Haq Ki
Taufique ata farmaye.
✏TASHEEH AUR IKHTISAR AUR IZAFA
IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment