📋 ZAKAT KIN CHEEZON ME FARZ AUR KIN CHEEZON ME NAHI?
⭕AAJ KA SAWAL NO.674⭕
Zakat ka nisab banane me kon, kon si cheezon ko gina jayega aur kon kon see cheezon ko nahi gina jayega?
Yani zakat kin cheezon par farz hai aur kin cheezon par nahi?
🔴JAWAB🔴
حامدا و مصلیا و مسلما
sona, chandi, naqad rupiya aur bechne ki niyyat se khareeda huwa koi bhi maal, masalan plot,zameen,flat,makan, share, dukan ka har woh maal jo saal bhar rakhne se kharab nahi hota.
Kiraye amdani,wirasat ya hadiye me mila huwa rupiya
in tamam cheezon par zakatvfarz hai us ki qeemat lagai jayegi.
Sone chandi ke alawah Har woh cheez jo istemal ki jati hai masalan fridge,washing machine, oven,har qism ki gadi (car,two wheels, cycle) mobile,ghar ke bartan, showcash ke bartan, ghar ka furniture, kapade, imitation jawelery, hifazat ke liye rakhe gaye hathyar, ghar me rakha huwa khane pine ka zakhirah, istiamal ke hire, moti, parhne ki kitaben wagairah aur dukan,karkhane, factories ki istiamal ki machineries wagairah zaroorat ki chezen,
Kiraye par dee hui koi bhi cheez makan, dukan,har qism ki gadi par zakat farz nahi.in ki qeemat nahi lagai jayegi.
jo cheez bechne ki niyat se na khareedi ho masalan ayindah rehne ke liye ya bachchon ko dene ke liye khareeda huwa makan, flat,zameen wagairah
jo maal kharab ho jata hai masalan gosht, sabzi, fruit, dudh Aur dudh se bani hui cheezen me zakat farz nahi lihaza nisab banane me is tamam cheezon ko nahi shumar karenge.
📗masail zakat safa 51,61,88
📘Masaike zakat 2/145
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment