SONE SE WUZU TOOTNE NA TOOTNE KI SURTEN
⭕AAJ KA SAWAL NO.669⭕
Sone Se kab wuzu tootta hai aur kab nahi tootta hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
1. LET KAR YA TEK LAGAKAR SONA:
lete lete ankh lag gayi, ya kisi chiz se tek laga kar baithe-baithe so gaya, aur aisi gaflat ho gayi ke agar vo tek na hoti to gir padta, to wuzu jaata raha. aur agar namaz me baithe baithe ya khade khade so jaaye to wuzu nahi gaya. aur agar sajdah me kohniya zamin par bichhakar so jaaye to wuzu tut jayega.
2. BETHKAR SONAA:
Agar namaz se baahar baithe-baithe so jaaye aur apna chhutad (surin-pichhe ki shamgah) edi se daba le aur divar vagerah kisi se tek bhi na lagaye to wuzu nahi tutta.
3. SOTE SOTE GIRNAA YA ZHUMNAA:
Baithe-Baithe nind ka ek aisa zhonka aaya ke gir pada, to agar gir ke fauran hi ankh khul gayi to wuzu nahi gaya. aur jo girne ke zara baad ankh khuli ho to wuzu jaata raha. aur agar baitha baitha zhumta raha, gira nahi tab bhi wuzu nahi gaya.
4. DONO HATHO PAR TEK LAGA KAR SONA:
Kisi divaar ya sutun ya aadmi ya apne dono hatho par tek lagaa kar is tarah soyaa ke us sahare ko hataa diyaa jaaye to is tarah gir pade ke dono surin (kulhe) zamin se juda na ho to wuzu nahi tutega.
5. SONE KI VOH SURTEN JIS SE WUZU NAHI TUT'TA:
(1) Beth kar so jaaye ke dono paanv ek taraf fele ho aur dono surin (kulhe) zamin se lage huye ho to uska wuzu nahi tut'ta. is tarah ukdu betha ke dono surin zamin se lage huye ho aur dono ghutne khade ho aur dono pindliyo se hatho ko gher le usi haalat me apna sar apne ghutne par rakh le ke us se wuzu nahi tut'ta.
(2) Ungh (zhonke marne se) wuzu nahi tut'ta, agar che surin zamin par na jame
(4) lete huye aadmi ko halki ungh aa jaaye us se bhi wuzu nahi tut'ta [halki hone ka ye matlab he ke apne qarib ki bate suntaa ho].
6. SONE KI VO HAALAT JIS ME WUZU TUT JAATA HE:
(1) Char zaanu (palaathi) maar kar baith kar soyaa aur sar rano par rahe to wuzu tut jaayega.
(2) Surin (kulhe) ediyon par rakhkar baithne ki haalat me soyaa aur pet raano se jaa lagaa, undha undhaa sone ki tarah ho gayaa to wuzu tut jaayega.
(3) Aur koi shakhs ek surin÷kulhe par baith kar soyaa to uska wuzu tut jayega.
(4) Mariz karvat par let kar namaz padhta huvaa so jaaye to uska wuzu tut jaayega.
📘DURRE MUKHTAAR ZAKARIYAH 1/280
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
No comments:
Post a Comment