SHABE BARAAT KA WAQT AUR ROZA
AAJ KA SAWAL NO.685
SHABE BARA'AT KE ROZAH KI KIYA FAZEELAT HAI?
ROZAH KON SE DIN RAKHNA HAI?
EK ROZAH RAKH SAKTE HAI?
BAGAIR SEHRI KA ROZAH RAKH SAKTE HAI?
JAWAB
SHABE BARA'AT KE ROZE BARE ME RUWAYAT HAI KE HAZRAT ALI RADEEALLAHU ANHU FARMATE HAI KE HUZOOR صل اللہ علیہ وسلم NE FARMAYA JAB NISF SHABAAN KI RAAT AAYE TO US RAAT ME IBADAT KARO AUR DIN ME ROZA RAKHO...IBNE MAJAH HAD.NO.1388. IS ZAEEF RIWAYAT SE ROZA RAKHNA SABIT HAI
EK ROZAH RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHURAH KI TARAH DO ROZE RKHNE KA HUKM NAHI LEKEEN AYYAME BEEJ YA'ANI 13,14,15 ISLAMI TAREEKH KE ROZE HAR MAHINE RAKHNA SUNNAT HAI 14,15 ROZAH BHI INHI DINON ME SE HAI AUR HUZOOR صل اللہ علیہ وسلم HAR PIR JUMEARAAT KO BHI ROZA RAKHTE THE LIHAZA INDEA ME IS SAAL 1437 HIJRI ME 15 SHAABAN KO ROZA PEER KO AA RAHA HAI LIHAZA IS SUNNAT KO ADA KARNE KE LIYE BAAD ME JUMEARAT KA BHI ROZA RAKH LE IS TARAH DO TIN ROZE BHI RAKH LENA BEHTAR HAI.
BAGAIR SEHRI KE 15VI SHABA'AN AUR NAFAL ROZAH RAKH SAKTE HAI.
SUBAH SADIQ KE BAAD ROZAH KO TODNEWALI CHEEZ PAISH NA AAYI HO TO ZAWAAL SE PEHLE NIYTAT KAR SAKTE HAI
HINDUSTAN AUR US KE ATRAFWALE PEER KA ROZAH RAKHE.
ITWAR KI RAAT SHABE BARA'AT HAI.
📗 FATAWA DARUL.ULOOM JILD 3 SAFA 324 SE MAKHOOZ ✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment