Tuesday, May 10, 2016

ZAKAT KIS PAR?

ZAKAT KIS PAR?

⭕AAJ KA SAWAL NO.675⭕

Zakat Kis par wajib hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

jis ke paas saal ke shurooa aur saal ke akhir me [saade bavan tola]  612 gram 35 mg. gram chaandi ho ya [saade saat tola] 87 gram 479 mg. gram sona, qarza adaa karne ke baad bachta ho, us par zakat vajib hai.

ya saade bavan tola chandi ki qeemat aaj 10 may 2016 ke hisab se 24500 rs ki qeemat ke baqadr zakat ka maal qarza Adaa karne ke baad mavjood ho to bhi zakat wajib hai.

Masalan 1 tola sona hai aur 500 rs naqad hai aur qarza nahi hai ya hai to ada karne ke baad chandi ke nisab jitna bachta hai to uspar bhi zakat wajib hai
Ya bechne ka kuchh maal hai aur kuchh naqad paise hai aur dono ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat tak qarza adaa karne ke baad pahonch jata hai to us par saal ke khatma par zakat wajib hai, saal ke darmiyan me maal nisab se kam ho jaye to us ka aetibar nahi.

Sona, chandi, naqad, maal-e-tijarat in charon ko ya baaz ko milaya jaye to chaandi ke nisab ki qeemat ko pahonch jaye to bhi zakat vajib hai.

masaile zakat safa 61  ba hawala ahsanul fatawa 4/254 se mskhooz

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...