SHARES KI ZAKAT
⭕AAJ KA SAWAL NO.682⭕
Kya shares ki zakat bhi wajib hai? Agar wajib ho to kese nikaale?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
★ Milo aur Companiyo ke Shares per bhi Zakaat Farz he, Ba-sharte k Shares ki qeemat baqadre nisaab ho ya uske alawa dusre maal se Shares Holder Maalike Nisaab ban jaye,
★ Albatta Companies ke Shares ki qeemat me chuki mashinry aur makaan, Furniture ki bazaree qeeat bhi shamil hoti he, Jo dar haqeeqat zakaat se mutashna ( Free ) he,
⇨Isliye agar koi shakhs Company se maloom karke jitni raqam uski Mashinry, Makaan aur Furniture me lagi hui he usko apne hisse ke mutabiq Shares ki qeemat me se kam karke baqi ki Zakaat de to ye bhi jaa’iz he,
★ Saal ke khatm per jab Zakaat dene lage us waqt Jo Shares ki bikne ki qeemat hogi wahi lagegi
📗Fiqhul ibadaat, 27
و اللہ اعلم
✏HAQQ KA DAYI ANSAR AHMAD
TASDEEQ ✅IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment