BEHOSHI & HASNE SE WUZU KA TUTNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.670⭕
Kya behoshi aur hasne (laughing) se bhi wuzu toot jata hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
1. BEHOSHI ya NASHAA:
Agar behosh ho gaya aur junun (pagalpan) se aqal jaati rahi to wuzu tut jaayega, chaahe behoshi ya junun thodi hi der rahaa ho. aur aise hi agar sharaab vagairah koi nashaa ki chiz kha-pi li aur itna nashaa ho gayaa ke achhi tarah nahi chalaa jaata aur qadam idhar udhar bhatakta aur dagmagaata hai to bhi wuzu jaata raha.
2. NAMAZ ME HASNA:
Agar namaz me itni zor se hasi nikal gayi ke usne apne aap bhi apni avaaz sun li, aur uske paas valo ne bhi sab ne sun li, [khilkhilaakar hansne me sab paas vale bhi sun lete hai] is se bhi wuzu tut gayaa aur namaz bhi tut gayi. aur agar aisa huva ke apne ko avaaz sunaayi de, magar sab paas vale na sun sake , agarche bahot paas vala sun le is se namaz tut jaayegi, wuzu nahi tutega. agar hansi me sirf daant khul gaye,avaaaz bilkul na nikli,to na wuzu tuta aur na namaz gayi, ha chhota bachha jo abhi javaan na huva ho woh zor se namaz me hanse ya tilavat ke sajde me bade baaligo ko hansi aa jaaye to wuzu nahi jaata. ha vo sijdaa aur namaz jaati rahegi jis me hansi aayi.
📘BAHISHTI ZEVAR-54-57 SE MAKHUZ
و اللہ اعلم
✏(mufti) IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.
No comments:
Post a Comment