Thursday, May 19, 2016

Shabe Barat

⭕AAJ KA SAWAL NO.684⭕
Baaz jaga masjid me bhi Shabe baraat me halwa pakaya jata hai us ki kya haqeeqat hai aur is ki raat ki bidaat kya kya hai ?

🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما

Baaz log Halwa pakane ko zaruri samajhte he’n, iske bager unki Shabe Baraat hi nahi hoti, Ye bilkul Be-asal aur galat Rasm he,
✿1.Baaz ye kehte he’n k Huzur Sallallahu Alaihivasallam ka jab (Uhad me ) dandane Mubarak shaheed hua to halwa khaya tha, Koi kehta he k Hazrat Hamzah Raziyallahu Anhu is din shaheed hue the unki Fatiha he,
⇒ Ye bilkul mangadant aur galat qissa he iska etqaad rakhna bilkul jaa’iz nahi balki Aqlan bhi mumkin nahi kyuki Uhad ka waaqi’a Shavval me pesh aaya tha Shabaan me nahi,
Murdo ka Gharo me Aane ka Aqeeda
✿ 2.Baaz log kehte he’n k Shabe Baraat me murdo ki roohe gharo me aati he aur dekhti he k hamare liye kuchh khana paka he ya nahi,
⇒Ye bhi bilkul galat aur Be-asal baat he, shariyat me iska koi saboot nahi,
✿ 3.Baaz log ye samajhte he’n k agar Shabe Baraat se pehle koi mar jata he to jab tak uska Fatiha ( Jise arfa me milana kehte he’n) na ho wo Murdo me shamil nahi hota ( Yani uski rooh bhatakti rehti he),
⇒Ye baat bhi bekaar, mangadant aur Ahadees Sahih ke bilkul khilaaf he,
4.Baaz log is moqe per Bartano ka badalna, Gharo ka rang rogan karna kaare sawab samajhte he’n,
★ Baaz jagah per khaas cheezon ka iltzam kiya jata he, Khane pakaye jate he’n, Dawate udayi jati he, Masjido me bhi raat bhar khane pakane ka daur chalta he, Shor sharaba kiya jata he,aur Jo log ibaadat karne aate he unko isse pareshani hoti he aur na hi masjid ke adaab ka lihaz kiya jata he,
⇨ Ye bhi ek aam rivaaj banta ja raha he, is Raat me in Amaal ka koi zikr hi nahi, Balki ibaadat to bager kisi iltizam ke bhi ki ja sakti he,
⇨Isliye is Din is Rivaaj ko bhi tark karna chahiye.

و اللہ اعلم               
Ansaar ahmad
Tasdeeq IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...