Tuesday, November 20, 2018

BAAL MUBARAK

💐 *BAAL MUBARAK* 💐

AAJ KA SAWAL NO:1552⭕

BAAL MUBARAK KE DEKHNE KA KYA HUKM HAI?

JAWAB

حامد و مصلیا و مسلما

HADEES SHAREEF SE SAABIT HAI KE HUZUR ﷺ NE APNE BAAL MUBARAK SAHAABA ​RADEEYALLAHU ANHUM  KO TAQSEEM FARMAYE THE.

FATAWA IBNE TAYMIYAH ME HAI HUZOOR ﷺ NE APNE BAAL MUNDWAKAR AADHE SAR KE BAAL ABU TALHA RADIYALLHU ANHU KO DIYE AUR AADHE LOGON KE DARMIYAN TAQSEEM FARMA DIYE.

AGAR KISI KE PAAS HO TO TAJJUB KI BAAT NAHIN. AGAR USKI SAHIH AUR QABILE AETIMAD SANAD (PURI CHAIN HO KE HAM TAK KIS KIS KE ZARIYE PAHONCHA) HO TO USKI TAAZEEM (ZIYARAT) KARNA BAHOT BADI KHUSH NASIBI HAI.

AGAR SANAD NA HO AUR BANAWATI HONE KA BHI YAQEEN NA HO TO KHAMOSHI IKHTIYAR KI JAAYE NA USKI TASDEEQ KARE (SACHCHA SAMJHE) NA TAKZEEB (JHUTLAYE). NA TA'AZEM KARE NA TAUHIN KARE.

BAAL MUBARAK AUR DUSRE NABAVI TABARRUKAT KHAIRO BARAKAT KO VAJIB KARNE WALE HAIN AUR USKI ZIYARAT SE AJR O SAWAB MILTA HAI.

USE DEKHNE ME MARDO AUR AURAT KA MELAP NA HO, HAZRAT AAISHAH RADIYALLAHU ANHA APNE ZAMANE KI AURTO KE MUTALLIQ FARMATI HAIN KE RASULULLAH ﷺ  IS ZAMANE KI AURTO KO DEKHTE TO UNKO MASJID ME JAANE SE MANAA FARMATE.
LIHAZA AURTO KO JAMAA NA KIYA JAAYE.

(TABARRUKATE MUBARAKAH KO HAMARE GUNEHGAR HAATH NA LAGAAYE JAYEN. SIRF ZIYARAT PAR BAS KIYA JAAYE.)

TABBARUKAT SE BARAKAT HAASIL KARNE KA SAHIH AUR JAIZ TARIQAH YEH HAI KE KHAAS TARIKH TAY KIYE BAGAIR LOGON KO JAMAA KARNE KA EHTIMAM KIYE BAGAIR JAB DIL CHAHE ZIYARAT KARE AUR KARVAYE.

SAHAABA KE ZAMANE ME DASTOOR THA KE KISI NAZAR WAGAIRAH KI TAKLEEF HO JAATI TO UMMUL MUMINEEN HAZRAT UMME SALMAH RADIYALLAHU ANHA KE PAAS PAANI KA PIYALAH BHEJ DIYA JAATA. AAP KE PAAS BAAL MUBARAK THE.UNKO CHANDI KI NALKI ME MAHFOOZ RAKHA THA, PAANI ME US NALKI KO DAAL DETE THE, AUR WOH PAANI MARIZ KO PILAYA JATA THA.

📗QUSTALANI SHARHE BUKHARI J.8/ S.382

HAZRAT ASMAA RADIYALLAHU ANHA KE PAAS HUZUR ﷺ KA KURTA MUBARAK THA, FARMATI HAIN KE HAM USE PAANI ME DHO KAR WOH PAANI APNE BIMARON KO BAGARZ E  SHIFA MARIZ KO PILA DIYA KARTE HAIN.

📘SAHIH MUSLIM 2/190

📗 FATAWA RAHEEMIYYAH JADEED BABUL AMBIYAA
JILD 3/SAFA 40 SE 42 KA KHULASA URDU KI AASANI KE SAATH)

HAM AEHLE SUNNAT WAL JAMA'AT TABARRUKAT SE BARAKAT HAASIL HONE KO MANTE HAIN, LEKIN USE SAB KUCCH NA SAMJHE.

NAJAAT TO A'AMAAL SE HOGI BILA AMAL VA ITTIBA E NABI ﷺ SIRF ZAAHIRI MUHABBAT KA DHONG AUR MUHABBAT KE DAWE KAAFI NAHIN.

GAIR MUQALLID (NAAM KE AEHLE HADEES) ASAL WAHAABI TABBARUKAT SE BARKAT HAASIL KARNE KO NAHIN MANTE.

ALLAH HAME SACHCHI AUR KAAMIL MUHABBATO ISHQE RASUL ﷺ NASEEB FARMAYEN, AAMEEN

🌙 ISLAMI TARIKH: 11 RABEEUL AVVAL 1440 HIJRI

و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON
UNKI MAGFIRAT KI JAAYE

🕌MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲💻
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ЁЯФ╡JAWABЁЯФ╡ Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...