TAKBEER E TASHREEQ KE MASAIL
⭕AAJ KA SAWAL NO.783⭕
Takbeer e tashreeq ke kyaa masaail hain uske barey me bataye.
🔵Jawab🔵
*Takbeer-e-tashreek*
ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LAA ILAAHA IL-LALLAHU, WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, WALI-LLAHIL-HAM'D.
Yeh Takbeer 9th Zil-hajjah ki FAJAR ki namaz se shuru karni hai, aur 13th zil-hajjah Ki ASAR tak,(is sal 1437 me india me jumah ki asar tak ) Har farz namaz ke ba'ad chahe namaz tanha padhe ya jama'at se ek martaba padhna har aaqil,baalig,mard, aurat par waajib hai.
mardon ko buland Aawaz se padhna waajib Hai,
Lekin Aurat buland Awaz se na kahe Balke Aahistah aawaz se padhe.
Aurten bhool jaari hain lihaza hazrat mufti Taqui usmani d.b.farmate hain ke aurten apni namaz padhne ki jagah ke samnne kisi kagaz par likhkar chipka le taake use dekhkar yad aa jaye.
📚AL-durruL-mukhtaar-1/564, Fatawa aalamgiri-1/152.
*padhna bhul jaye to*
Salaam ferne ke ba'ad fauran padhna bhool jaaye to jab tak namaz todne wali koi chiz maslan baat chit karna, baahar chale jana, kuchh kha pee lena wagerah paish na aaye tab tak keh sakte hain, agar yeh cheezen pesh aa jaaye to Takbeer-e-tashreek saaqit (khatm) ho jayegi, ab iski qazaa nahin hai, tauba karne se iske chhodne ka gunaah muaaf ho jayega,
📚Durre mukhtar 1-799
Fatawa darul uloom 5/207 se maakhuz
*qazaa namaaz ki takbeer ki sharten*
Iski 3 sharten hai,
(1) takbeer ke dino ki namaz ki qazaa ho,
(2) qazaa takbeer ke dino me hi padhi jaaye
(3) isi saal ki qazaa ho, isse pehle ke saal ki qazaa na ho.
Isse malum huwa ke agar gair ayyame takbeer ki qazaa namaz agar in dinon me padhi jaye to uske baad Takbeer-e-tashreeq wajib nahin hai.
📚durre mukhtar 1/76 se maakhuz
📝 Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment