Saturday, September 17, 2016

BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE'AMAL KARNA

*BISMILLAH KI JAGAH 786 NUMBER KA ISTE'AMAL KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 7⃣8⃣6⃣⭕

⭕Bahot se log khat, card, mobile msgs, ghar ke bahar ya ghar, wagairah me 786 likhte hain, aur yeh kehte hain ke Yeh Bismilah ka adad number hai.
kya yeh sahih hai ?

⭕Yeh kisne aur kyun shuru'a kiya ?

⭕Kya Isme Bismilah ki barakat hasil hoti hai ?

⭕Ba'az kehte hain ke yeh shri raam ya shri krishna ka adad hai, to kya yeh gairon ka tariqah hai ?

🔵JAWAB🔵

Hazrat mufti nizamuddeen aazmi رحمت اللّٰہ علیہ sabiq mufti darul uloom deoband, india. tahreer farmate hain ke : lafze اللّٰہ Allah ke 'laam' ko double shumar kar liya jaye aur رحمان Rahman ke 'alif' ko shumar na kiya jaye (yani meem par khada zabar isliye sirf meem ko gina jaye) to ta'adad 786 ho jati hai. pas is adad se yaqinan zahan Bismillah ki taraf muntaqil ho sakta hai, balke is adad ko dekh kar ya sun kar Bismillah mukammal (pura) zahan me aa jata hai, aur ho sakta hai ke koi zubaan se keh bhi de to iske maksad se yeh adad likhne ki garz yeh bhi ho sakti hai ke har khat (letter) ki ibaarat ki shur'uaat me zahan Bismillah ki taraf maail ho jaye aur Bismillah ka adab bhi baaqi rahe, isliye bahot mumkin hai ke is tarikah e kaar se Bismillah kehne ya zahan me usey hazir karne ki jaanib talqin aur mutavajjeh karne ki garz (maksad) se yeh tariqah chal padaa ho, agar che yeh ma'alum na ho ke yeh tarikah kab se jaari huwa kuchh muzir (nuqsan) na hoga. balke istihsaan (uska achchha hona) baaqi rahega aur biaynihi (same) Bismillah padhne ki barakat agarche hasil na ho lekin zariyah zarur ban sakta hai, aur yeh be'adabi se bachaane wala hai, isliye is tareeqah ko bura kehna bhi qabile gaur baat hogi.

📗 MUNTAKHAB NIZAMUL FATAWA 3/435

💠Note: Adab ki wajah se likhne ki gunjaish usi waqt hogi jab ke *uske baad ki tahreer me aur kahin Allah ka naam ya kisi ayat wa hadees ka zikr na ho* warna be adabi na ho us wajah se likhne ki koi gunjaish nahin. *balke ek rasam samjhi jayegi, jis ka riwaj dena karaahat-makrooh hone se khali nahin.*

👉🏼Hazrat mufti yusuf ludhyanvi رحمت اللّٰہ علیہ isee barey me tashreer farmate hain ke : 786 Bismillah shareef ke adad hain, buzurgon se iske likhne ka ma'amul chala aata hai. galiban iska riwaj isliye huwa ke khutoot-lettres aam taur par faad kar fenk diye jate hain, jisse Bismillah sharif ki be'adabi hoti hai, is be'adabi se bachane ke liye galiban buzurgon ne Bismillah sharif ke aadad likhne shuru'a kiye, isko gairon ki taraf mansoob karna to galat hai, albattah agar be'adabi ka andeshah na ho to Bismillah sharif hi likhna behtar hai

📘Aap ke masail aur unka hal 6/348 naeemiyah

👉🏼Bande ke piro murshid, yadgare salaf Hazrat Aqdas Mufti Ahmad Sahab Khanpuri d.b. tahreer farmate hain ke *yeh koi sharaee cheez nahin hai. aur is tarah likh dene se khat ke shuru'a me Bismillah likhne ka haq ada huwa nahin samjha jayega*

📔Mahmoodul fatawa 5/625

Awaam me 420 ke adad ka matlab dhokebaaz hota hai, lekin agar Qur'an e majid ki kisi aayat ka ya Allah ke kisi naam ka adad agar 420 aaye to usey chhoda nahin jayega.

Isee tarah Hari krishna ya shree raam ya kisi bhi devi ya devta ke naam ka adad agar 786 hota hai to uski wajah se Bismillah ke adad par koi farq nahin padta. aur yeh adad ka iste'amal hum ne pehle shuru'a kiya hai, aur yeh arabi aur urdu adad ke number bhi musalmano ki hi ijaad-sodh hai.

Aur 786 ke iste'amal se dil aur zahan Bismillah ki taraf hi jaata hai, Naa ke kisi devi devta ke naam ki taraf. Aur 786 likhne aur isharah karne ka maqsad aur niyyat bhi Bismillah hi ki hoti hai.

Lihaza 786 ka iste'amal kisi devi devta ka adad bhi hone ke bawajood upar ki sharton ke saath likhna jaiz hoga.

📚By Hz. Saiyyed anzar shah qasmi d.b. ke bayan👇🏻
https://youtu.be/I2wP1qXD7JM
se makhooz (Allah unko jail se Apne fazl jald riha farmayen)

➡Tino fatwon ka khulasah yeh hai ke 786 agar Bismillah sharif ki be'adabi na ho is maksad se aisi jagah likha jaye jahaan be'adabi hone ka khatarah hai to usey *is shart par likha jaye ke aage kahin Allah wa rasool صل اللہ علیہ وسلم ka naam na likha ho.*

jahaan be'adabi hone ka khatarah na ho ya aage Allah ka naam aa raha ho to wahaan Bismillah hee likhni chahiye.

📝 hz. Mufti Imran Ismail Memon d.b.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

1 comment:

  1. 420 ka adad kya banega mujhe hamesha se ye ank dikhai dete h

    ReplyDelete

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...