CHAND AADMI KA EK KI TARAF SE NAFLI QURBANI KARNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.774 ⭕
Ek se zaid aadmi milkar Huzoor ﷺ ki taraf se ya apne marhoom rishtedar ki taraf se qurbani Karen to qurbani sab ki taraf se sahih hogi ke nahin ba hawala jawab den
🔵JAWAB🔵
Haan ek se zaid aadmi Huzoor ﷺ ya
Rishtedar marhoom ki taraf se qurbani Karen to istihsanan (khilafe qiyas maslihatan) nafli isale sawab ki niyyat se qurbani sahih ho jayegi.
📘FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 17/326 BAHAWALA DURRE MUKHTAR
📔 FATAWA RAHEEMIYYAH DARUL ISHA'AT 10/57
📗 KITABUN NAWAZIL 14/527 se 529
وان مات احدالسبعة وقال الورثة اذبحوا عنه وعنكم صح عن الكل استحسانا لقصد القربة من القربة . شامي جلد 6/326کتاب الاضحیہ سعید
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻Aaj Ka Sawal,Aaj ki Achchi Baat, Qur'an,Hadith in Hindi & Eng,Islamic Group KI Sabhi deenee Text & Image Ke Liye Islamic Group Application download Kare..
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment