Sunday, August 11, 2019

Zabah ka tariqah aur haraam ajzaa

*Zabah ka tariqah aur haraam ajzaa*

⭕Aaj ka sawal no.1819⭕

*Qurbani ke janwar ko zabah ka tariqah aur gosht ki taqseem aur kasaai ki ujrat aur janwar ki haram chizon ke baare me batane ki guzarish.*

🔴Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ?

🔵Janwar ke gale me 4 rag hoti hai.
 
1) Hulqoom,  jisse saans liya jata hai.

2) mari, jisse khana andar jata hai.

3 Aur 4)
Do khun ki ragen.

4 me se 3 rag kat jaye to janwar halal ho jata hai aur sharaee zabah ho jata hai. 

*(agar 3 na kati sirf 1, ya 2 kati to janwar halal nahin hoga)*

🔴Gardan me kis jagah chhuri chalayi jaye ?

🔵Janwar ki gardan ke kisi bhi hisse me chhuri chala sakte hen, usme bich, kinare ki koi qaid nahin hai.

📚Kitabul masail 2,245,246

🔴Qurbani ki khaal qasai ko de sakte hain ?

🔵Qurbani ke janwar ki khal khud isteamal kar sakte hain, kisi ko de bhi sakte hen, agar khud ne woh khal bech di to is ki qimat garibo me sadaqah karna zaruri hai, *qasai ki ujrat me khal nahin de sakte,* uski ujrat alag se de, *hadiyah ke taur per de sakte hain.*

📚Mustafad az kitabul masail,  2,53

🔴Qurbani ka gosht gair muslimo ko de sakte hain ?

🔵Qurbani ka gosht gair muslim ko bhi dena jaaiz hai.

📚Kitabul masail bahawala aalamgiri, aelaus sunan, 2,249

(Albatta muslim ko dena ziyadah behtar hai unka haq pehle hai)

📚Fatawa rahimiya qadim 6,165

🔴Qur'bani ke zabah  kiye huve halal janwar me kitni aur  kon kon si cheezon ka khaana haram hai?

🔵Qur'bani ke zabah  kiye huve halal janwar  me 7 cheezen  khana makruh e tahreemee ya'ani haram ke qareeb hai. aur 1 cheez bilkul haraam hai.

(1) Nar janwar  ki  peshab ki jagah,

(2) Maadah janwar  ki peshab ki jagah, 

(3) Peshab ki theli,

(4) Pitta (kadwe paani ki theli)

(5) Dono  kapuriye :khusyatain: sufed gurde jo gair khassi janwar me hote hain

(6) Gudood ya'ani jame  huve  khun ki guthli- gaanthe jo ba'az janwar ke gosht me hoti hai.warna gudah jo nalli me se nikalta hai woh to halal hai

(7) Behnewala khun qataee haraam ya'ani Qur'an se hi haraam hai jo khun kate huve  gosht aur qeeme -kheeme me hota hah woh pak hai kyun ke woh behnewala nahin hai.

📚Fatawa mahmooduyyah dabhel 17/297 se 302

📚Bahawala shami

📚Kitabul khunsa, masaile shattah 6/749 saeed)

و الله اعلم بالصواب

🗓09 zilhijjah, 1439 hijri
📝Maulana Ibrahim Alyani Sahab
✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...