*QURBANI KE DINO ME GAREEB YA MAALDAAR HONA*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1814⭕
1⃣.
Ek aadmi maaldaar tha, lekin qurbani ke din aane se pehle gareeb ho gaya, to kya us par qurbani wajib he ?
2⃣.
Ek aadmi gareeb tha, lekin qurbani ki dino me maaldaar ho gaya, to kya us par qurbani wajib he ?
🔵JAWAB🔵
1⃣.
Qurbani ke dino me gareeb ho gaya, yani sahibe nisab nahi raha, to is par qurbani wajib nahi.
2⃣.
Jo pehle faqeer tha,Qurbani ke dino me ya qurbani ke tisre din aakhri waqt me bhi maaldaar ho gaya, to us par qurbani wajib he.
📚Mustafad kitabul masail 2/222
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
05 Zil Hijjah 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in
📲Download App: goo.gl/wqABfs
No comments:
Post a Comment