*TARUST KI JAGAH PAR QABZAH KARNEWALON KA HUKM*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1824⭕
Hamari masjid ki waqaf ki jaga me chand purane bhadut hai jo bilkul mamooli kiraya dete hai na kiraya badhate hai na makan ko khali karte hai balke woh qabzah jamaye huwe hai aur khali karne ka saaf mana karte hai.
aese logon ke bare me shareeat ka kya hukm hai ?
un se qabzah kese liya jaye kya aese logon ki magfirt mubarak dinon aur mubarak raton me magfirat ho sakti hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Yaadgare salaf arif billah hazrat aqdas piro murshid mufti ahmad khanpuri d.b. isi qism ke ek sawal ke jawab me likhte hai ke, "waqaf ki maaliki ki jaghon par kirayedaron ka sarkari qanoon se faidah utha kar qabzah jmana aur uska baa qaidah jo bazari kiraya chalta hai woh na dena aur purana kam kiraya dete rehna aur trustiyon ko pareshani me mubtala karna sakht gunah ka kaam hai aur waqaf ki milkat ka ye na jaiz faidah shareeat ki roo se gazab (zabardasti na jaiz qabzah) kehlayega. Fuqhaa-masail ke mahireen ne waqaf ki milkiyat se na jaiz faidah uthane ko yateem ke maal se na jaiz fadah uthane walon ke hukm me likha hai aur yateem ke maal ko na haq hadap karne aur khaa janewalon ke liye quraano hadees me bahut sakht waeeden aayi hai ye dunyawi zindagi kuchh hi waqt ki hai ek din marna hai sur Allah ke samne pesh hokar apne tamam aamal ka hisab dena hai, jo log is tarah waqaf ki milkat par galat qabzah jama rahe hai aur bazar ki value se kiraya na dekar us se na jaiz faidah uthha rahe hai un logon ko soch lena chahiye ke kal qayamat ke din kya jawab denge ?"
📗MAHMOODUL FATAWA 3/267 GUJRATI
Hadeese paak me nabiye kareem SALALAHU ALAYHI WASALLAM ka irshad hai jis ne ek balisht jaga bhi zulm ke taur par le li qayamat ke din us ko saton zameeno ka haar pehnaya jayega
📕MISHKAT 254
Ek aur hadees me hai ke jis ne thodi zạmeen naa haq tareeqe se le li qayamat ke din use saat zameen tak dhasa diya jayega.
📙MISHKAT. 256
Ek aur riwayat me hai ke jis ne naa haq tareeqe se koi zameen le li us se medane hashr me us ki puri mitti uthwayi jayegi
📘MISHKAT 256
ek aur riwayat me hai ke jis ne ek balish zameen naa haq tareeqe se le li qayamat ke din Allah taala use us zameen ko saat zameen tak khodne ke liye majboor karenge us ke baad use gale me pehna dee jayegi
📕MISHKAT 256
Trustiyon ko chahiye ke aese achcchhe logon jis ki woh baat sunta aur manta ho us ke paas bhejkar us ko samjha kar us milkat-zameen ka qabzah lene ki koshish kare khulasa ye hai ke qabza hasil karne khud se har tarah ki koshish kar lene ki zaroorat hai.
📗MAHMOODUL FATAWA 4/258
Waqaf ka talluq huqooqul ibaad se hai logon ne masjid ke faidah ke liye chanda diya hai ya waqaf kar ke dunya se ja chuke hai jab tak in logon ki muaafi na mange Allah ke samne tauba se bhi ye gunah muaaf nahi hoga aur chanda denewale kon hai us ka pata nahi aur dunya se jaa chuke hai un se muaafi mangni mushkil hai lihaza waqaf ke muaamale me kotahi karnewalon ki magfirat ka muaamala bada mushkil hai. lihaza mubarak mahina aane se pehle na jaiz qabzah chhodne aur chhudwane ki taiyyari kar lene chahiye.
و الله اعلم بالصواب
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
15 Zil Hijjah 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in
No comments:
Post a Comment