*QURBANI NAHI KAR SAKAA TO BADE JANWAR ME HISSA LENE KI SHAKAL*
⭕aaj ka sawal Number 1823⭕
A. qurbani waqt par nahi kar saka to baad me badey janwar me hissa le kar qurbani karne ki koi shakal hai ?
B. kaee saal ki qurbani baqi hai to is ki qaza kaise kare ?
🔵JAWAB🔵
A. baaz akabir ki raay yeh hai ke badey janwar ke saatwen (7th) hisse ki qeemat ka sadqa karna bhi kaafi hai, Albatta agar saatwen hisse ki qeemat Mutwast bakre ki qeemat se kam hai to bakre ki qeemat dena afzal hoga (yani saatwen hissa ki qeemat debe ki bhi gunjaish hogi)
B. isi masla me kifayatul mufti (jadeed 8/212 matbuoa daarul isha'at Karachi) me hai : ”qurbani ke janwar ya gaay ke saatwen hissa ki qeemat khairaat kare. (jawab : 274)
fatawa darul uloom deoband deoband ( 15 : 513 ) me hai : ”woh shakhs har ek baras ki qurbani ke aiwaz qeemat qurbani ki sadqa kare“
aur ek dusre fatwa me hai : "aur uqrbani ki qeemat me Mutwast janwar ki qeemat aur bade janwar ke saatwen hissa ki qeemat dono daakhil hai.
*darul ifta darul ulooom deoband online*
📥Fatwa ID 1359- 1367 /
N = 11 / 1435- U
*Binnoriya online fatawa number*
📤143701200016
*🌙🗓ISLAMI TAREEKH* :
14 Zil Hijjah 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
📲💻
🌍 http://aajkasawal.page.tl
🌍 http://aajkasawal.in
No comments:
Post a Comment